#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Lalchi Ramesh

Lalchi Ramesh

Ramesh ek bahut hi lalchi insaan hai wo paisa kamane ke liye kisi bui hadd tak gir sakta hai. Wo apne jhopdi me apni biwi Sushila aur do baccho Sachin aur Sanjana ke saath rahta hai. 10 saal pehle uski shaadi hui thi lekin wo apne lalach ke karan jyada paisa nhi kama paya. Uska ek kirane ka dukaan tha jisme wo roz marra ki jarurat ki samaan rakhta tha jo gaon walo ko kabhi kabhi jarurat pad jata tha, jiase daal, biscuit, maggi, toast, namkeen, baccho ke liye copy aur bhi aise bahut saare chiz jinhe wo apne gaon walo ko thode jyada daam pe becha karta jisse usko jyada fayda ho lekin gaon wale bhi usse jyada samaan nhi kharidte they isliye uska dukaan jyada nhi chalta tha. Ek din use use pta chala ki uske gaon me koi bada seth rahne aya hai. Shaam ko jab Ramesh ghar pahucha to Sushila ne roz ki tarah pehle use paani diya aur fir poochi ki aaj kitna paisa kamaye. Ramesh ne gusse se kaha itna nahi ki ek mahal khada kar saku, Sushila isse chhid kar chali gayi rasoi ki or khana banane, jaise hi Sushila rasoi ki or gayi uske bacche Sachin aur Sanjana aa gaye halla karte hue ki papa hamare liye kya laye, Ramesh ne unhe apne jeb se 2 - 2 toffee nikal kar diya aur bola diya ki jao jaa kar padahi karo.

Short story 1 date 21 Jaunary 2023 kids story
Hanuman STUDIES

Ab raat ke 7 baj chuke they, Sushila ne Ramesh se kaha ki haath dho lo aur wo uske liye khana le ke aa gayi. Aaj khane me aloo aur matar ki sukhi sabzi bani thi aur roti, subah ka bacha hua chawal bhi tha. Ramesh ne khana kha kar apni biwi se poocha ki kya baccho ne khana kha liya? Sushila ne jawab diya ki haan unhone khana kha liya aur apne school ka kaam khatam kar rhe hai, fir Ramesh ne Sushila se bhi khana khane ke liye kaha. Sushila bhi khana kha ke bistar lagane lagi, Ramesh ne usse kaha ki gaon me koi bada seth rhne aya hai agar wo seth uske dukaan se samaan lene lag jaye to shayd uski garibi wali stithi me thodi bahut sudhaar ho jaye, Sushila ne usse seth ka naam poocha, Ramesh ne jawab diya ki abhi nhi pta. Sushila ne bhi usse kaha ki seth se dosti karne ka koshish karo taki wo uske yahan se samaan kharide lekin lalach nhi karna lekin usse Ramesh ko koi farq nhi pada.

Agle subah jab wo apne dukaan pe pahucha to dekha log us naye seth ke baare me hi baat kar rhe hai. Wahan se use us seth ka naam pata chala, seth ka naam tha Shalikram. Lagbhag 10 din baad Ramesh ne apne dukaan pe ek aadmi ko dekha jo uske dukaan pe samaan lene aya tha, uske admi ke chehre pe ek alag hi chamak thi, Ramesh samajh gya ki shayad ye wahi seth hai jo gaon me aya hai. Us vyakti ne Ramesh se kaha ki 2 litre sarso ka tel, 5 kilo arhar ka daal, 25 kilo chawal, 25 packet maggi, garam masala, sabzi masala, haldi powder, mirchi power, dhaniya powder, jeera powder aur kuch baccho ke liye khane ka samaan. Shalikram ne Ramesh se in samaano ka daam poocha aur ye ki kya wo in samano ko uske ghar pe pahucha sakta hai? Ramesh ne hami bhar di aur kaha ki 1 ghante ke andar wo in chizo ko uske ghar pahucha dega aur usne usse advance me bhi 500 rupaye le liye baaki usne kaha ki wo bakaya daam ka parcha likh kar rakh dega. Iske baad Shalikram wahan se chala gya.

Abhi dopahar ke 2 baj rhe they, Ramesh ne saare samaano ko ek gathri me baandh kar sab ka hisab kiya to 2100 rupaye hue, is hisaab se use ab seth se bas 1600 rupaye lene rah gaye. Lekin lalchi ramesh ne saare samaano ka daam badha ke likh diya aur use 2300 kar diya. Ab wo in saare samaano ko leke seth Shalikram ke ghar pahucha aur baaki ke rupaye leke chala gya. Seth ke pariwar me 7 sadsya they isliye use jyada matra me chizo ki jarurat pad jati thi kuch hi dino me. Lekin seth padha likha aur hoshiyar bhi tha usne dekha ki Ramesh usse jyada paise aith raha hai. Ye baat usne apne ek policewale dost ko bataya. Aur ek din uska wo policewala dost grahak ban kar Ramesh ke dukaan me pahucha, Ramesh ne use aam aadmi samajh kar jyada paise lene ka socha aur lalchi Ramesh ko apni karni ki saza bhugatna pada. Us police wale ne use range haath pakad liya aur use jail le kar chala gya.

Ramesh ke jail jaane ki khabar kuch hi der me uski biwi tak pahuch gyi, aur apne ghar me tala laga kar chali gayi. Wahan usne Ramesh ko chod dene ke liye police se guzarish ki aur ye bhi kaha ki ab se wo imandari se kamayega. Lekin policewale ne Shalikram se pehle poocha ki Ramesh ko chhoda jaye ki nhi, Shailkram ne use chhodne ke liye haami bhar di. Ramesh ko apni karni ka sabak mil chuka tha, usne seth Shalikram ke ghar ja kar bhi usse maafi maangi aur dhanyawad bhi diya uski wajah se hi wo jail se hi wo chhut saka tha nhi to use lambe samay tak jail ki roti khani padti.

Moral of the story: 

lalach buri bala hai.

Post a Comment

0 Comments