Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Story

Bhalai karte rahna chhahiye

  Bhalai karte rahna chhahiye Aise hi nahi koi amir ban jata hai, jo abhi amir hai wo bhi kisi na kisi ke mehnat ki wajah se amir bana hai us shaqs ke piche kisi na kisi ne garibi jaroor dekhi hai. Hanuman STUDIES Pannalal ke paas pushtaini zaidad bahut thi uske bacche jab bade ho jayenge to unke paas kisi chiz ki kami nahi rahne wali hai. Usne abhi se adhiktar zaidad apne baccho ke naam kar rakhe they aur kuch apne paas rakhe hue tha. Ek din wo apne ghar ke chaurahe se gujar raha tha tabhi uski nazar ek garib bhikahri aurat pe padi jo bahut hi bure haal me thi. Us bhikarin ne usse kuch paise maange to usne 500 ka note nikal kar de diya. Ab Pannalal wahan se chala gya aur ek dukaan pe ja ke apne dosto ke saath baith ke baatein karne laga, usne wahan apne ek mitra ko bataya ki usne aate samay raastw me ek bhikarin ko dekha aur ye bhai bataya ki usne use kuch paise bhi de diye. Laut-tey samay wo bhikarin use fir mili. Pannalal ne usse kaha ki kahan se aayi ho amma aur uska ghar kahan...

Aam ka bagicha

  Aam ka bagicha Ramvilas ghar se nikla apne bagiche ki or aur wahan apne aam ke lage hue pedo par uski ugti hui manjar dekhi, kya manjar they uski ped pe, use dekh kar Ramvilas bahut khush hua. Is varsh aam bahut acche honge usne apne mann me socha aur ye bhi socha ki un aamo ko bech ke wo acchi kamai bhi kar lega. Hanuman STUDIES Kuch mahino baad uske bagiche me lage ped pe fal ugne lage aur un phalo ko dekh kar Ramvilas ki khushi ka thikana nhi tha. Ek din wo apne bagiche me aya aur apne falo ko todne laga usne jab acche khaase fal tod liye to ghar ja kar usne khana khaya aur fir shaam ko unhe bechne wo bajaar chala gya. Bajaar me sab apni apni dukaane laga rahe they, Ramvilas ko dukaan lagaane ka koi jhanjhat nhi tha wo apni theli lekar chal raha tha karib 2 ghante me hi usne apne saare aamo ko bech diya aur fir wo ghar ki or laut pada. Raaste me usne apne baccho ke liye kuch mithaiya li aur apni biwi ke liye ek nayi saari. Ghar pahuchte hi baccho ne use gher liya ki pitaji kya...

Kusumpur ka station

Kusumpur ka station Ek shahar aisa jiske log us shahar ke station pe jana pasand nahi karte hai, wo station bhi desh ke doosre stations ke jaisa hi tha wahan bhi trains aati, rukti, usme se sawari utarte sawari chhadte aur fir gaadi chali jati aur isi tarah se doosri gaadi aati aur chali jati lekin jo log us station ko acche tarike se jaante they wo us station pe dobara nahi aana chhahte they. Hanuman STUDIES Yahan baat ho rahi hai Kusumpur station ki jo shahar ke ek kone me basi hui hai. Logo ka kahna hai ki waha bhooto ka waas hai aur aisa isliye kyunki jab se us station ko naya roop diya gya hai us station se kai bacche ajib garib dhang se gayab ho chhuke they aur jitna bhi log wahan se apne ko roke koi koi na baccha kisi na kisi tarah se wahan se gayab ho hi jaate they. Shuruat hui station ke naye roop dene ke baad se, station ko aur bada banaya gya tha to us station ke aas paas ke gaon ke kuch bacche wahan khel rahe they, khelte khelte unki gend train ki patri pe chali gayi unme s...

Lakdi ke karigar

Lakdi ke karigar Raipur station pe subah-subah train aake ruki aur usme se do log utre, Jai aur Veeru, dono pahli baar Raipur aye they aur dono hi acche mitra they. Unko ek kaam ke silsile se wahan bulaya gya tha. Jai aur Veeru dono hi ek manjhe hue lakdi ke kaarigar they. Un dono gaon ke chaudhary sahab ne shahar me ek chhoti si dukan me kaam karte hue dekha tha aur wo un dono ke kaam ke kayal ho gaye they tabhi unhone unse baat ki aur kaha ki Raipur aa jao wahan unke liye bahut hi kaam hai. Hanuman STUDIES Jai aur Veeru station se bahar nikalne ke baad ek rickshaw wale se bole ki unhe Chaudhary sahab ke yahan jaana hai, itna sunte hi rickshaw wale ne kaha ki baithiye bhai bas ₹ 50 lagenge. Rickshaw wale jis tarike se unhe chaudhary sahab ke yahan le jaa raha tha usse unhe ye to abhas ho gya ki Chaudhary sahab yahan ke koi jaane maane hasti hai aur kuch samay baad wo dono Chaudhary sahab ke kile ke paas they. Wahan pahuch kar jab we kile ke andar gaye to unka bade aao bhagat ke saath ...

Gunehgaro ko saza

  Gunehgaro ko saza Aaj 1 mahina beet gya Ramgulzar ko jail me rahte hue usne apni biwi pe haath uthaya tha jiski saza use mili thi, vakil sahab atey usko jamanat ki rakam aur upay sujhate lekin wo baahar nikalne ko taiyar nhi tha. Uski biwi ek bahut hi acche nature ki aurat thi, usne nahi socha tha ki usse bhi aisi galti ho jayegi ki uske pati ko uspe haath uthana padega aur wo jail bhi ja sakta hai, lekin honi ko kaun taal sakta hai. Hanuman STUDIES Baat aaj se ek mahine pehle ki hai Ramgulzar ki biwi Usha khet ki or jaa rahi thi apni saheliyo ke saath khet me se saag nikalne ke liye. Khet ghar se kuch doori pe thi tabhi wahan se kuch manchale gujare jinhone Usha aur uski saheliyo se kuch galat baat kah di, unke galat shabdo ka virodh Usha aur uski saheliyo ne kiya to wo lafange unhe baad me dekh lene ka dhamki deke chale gaye. Un ladko me se ek ladka gaon ke ek bahut hi amir ghar ka tha jisko gaon ke har ghar ki jaankari thi, wo agle din apne dosto ke saath usi jagah pe un aurat...

Anjaan Haveli - 1

  Anjaan Haveli - 1 5 dost ek din mil kar long drive pe gaye aur shahar se door nikal aaye itni door ki wapas jaane ke liye ab unhe google maps ki jaroorat padi lekin wo bhi unke kaam nahi aa rha tha kyunki wo jis jagah pe pahuch gaye they wahan mobile ka network bhi nhi aa raha tha. Thi to sadak hi lekin shahar ke kis hisse me thi uski jaankari kisi ko nahi thi ab shaam hone ko aayi thi aur raastaa bhatakne ki wajah se kisi ko andaaza nahi tha kahan jana hai bas sab yahi soch rahe they yaha se kaise nikale. Raat ho chhuki thi ab sabne apna camping ka samaan nikala aur decide kiya ki raat ab yahi beetayi jaye jisse unhe aas paas ka kuch andaza bhi lag jaye aur agar koi mil jaye to usse raasta bhi pooch sakte hai. Hanuman STUDIES Ab camp lag chhuki thi aur sab ne sabse pehle jo khaane peene ko laya tha use khaa kar ab ek doosre se wapas jaane ka raasta discuss karne lage. Sabse pehle unhone apne mobile me jo offline map download kiya tha use discuss karne lage. Lekin fir bhi unhe ku...

Neki kar dariya me daal

  Neki kar dariya me daal Ramjanak apne ilaake ka bahut hi amir aadmi tha uske paas nhi bhi to 300 ekad se zyada hi zamin rahi hogi, itna dhan hone ke bovzood usne kabhi bhi apne dhan pe ghamand nhi kiya. Uska ye vyavahar gaon walo ko bhi pasand thi aur uske yahan ghar pe ya khet me kaam karne hi kyun na ho sabko pasand thi. Hanuman STUDIES Ramjanak ke 3 bete they aur teeno me bhi usne aisa hi vyavahar diya tha ki kisi ke paas kitna bhi dhan kyun na ho jaye usko doosro ki izzat karna nhi bhulna chhahiye aur kabhi bhi doosro ko apne se nicha nahi samajhna chhahiye. Ramjanak ke teeno ladke padhai me bhi awwal they, unke padhahi ke charche school se lekar gaon tak hote they. Ramjanak roj ki tarah apni khet ki taraf nikla tahalne ko apni fasalo ko dekhne. Tahalte tahalte usne dekha ki uska ek majdoor khet me leta hua hai, wo aur paas gya to paya ki wo to adhmara pada hua hai, usne wahi se awaz lagai aur kuch hi pal me wahan 5 log pahuch gaye. Sabne us majdoor ko utha kar use uske ghar ...

Kacchue aur khargosh ki nayi race

Kacchue aur khargosh ki nayi race Jungle me bahut shanti thi, dopahar ka waqt tha aur garmi apne charam seema pe thi, sabhi jaanwar apne apne ghar me aaram kar rahe they. Chahe wo jungle ka raja sher ho ya fir khargosh, jaise jaise shaam hoti gayi aur mausam me thodi thandak aati gayi sabhi jaanwar aaram or khane ki talaash me apne ghar se bahar nikalne lage. Kargosh bhi khane ki talaash me bahar nikla ki shayad use kuch khane ko mil jaye tahalte tahalte wo nadi ke kinaare pahuch gaya jahan use ek kachhua dikha. Kacchue ko dekhte hi khargosh to shararat sujhi, usne kacchue se kaha ki chalo ek race lagai jaye, kacchue ne khargosh ki is race ko suikar kar liya. Race lag-bhag 1 km lambi thi air race 3 din baad thi. Hanuman STUDIES Race ki baat jungle me aag ki tarah fail gayi 3 din me lag-bhag saare jaanwaro tak ye khabar pahuch gayi ki khargosh or kacchue me race hone wali hai wo bhi 1 km lambi race. Race wale din saanp, bicchu, bhediya, siyar, suar, bakri, bhalu, haathi, sab ikattha ho ...

Amrendra ki Janakpur me entry

  Amrendra ki Janakpur me entry Kisne socha tha kisi ki nasib aisi bhi chamak sakti thi,shayad aisi hi kismat leke paida hua tha Yograj jiski ye kahani hai. Hanuman STUDIES Yograj ek garib rickshaw chalane wala tha, usne dasvi tak padhai ki thi, wo Janakpur station se Janakpur shahar ki gali-gali se wakif tha. Wo sabhi sawariyo ke saath apne mehman ki tarah vyavahar karta tha, unhe jahan bhi jana hota tha wo poori tatparta ke saath aur poori suraksha ke saath unhe wahan pahucha deta tha. Ek din shaam ke waqt jab wo station ke bahar train ka intezaar kar rha tha ki koi sawari use bhi mil jaye. Kuch der baad ek train aayi aur uska nasib accha tha ki use ek sawari jald hi mil gya jise Ashok Vihar colony jana tha, sawari ne Yograj se mol bhav kiya aur wo chalne ko taiyar ho gya. Ashol vihar colony station se 5 km ki doori pe tha isliye Yograj ne us sawari se auto-rickshaw lene ki bji salah di lekin wo Janakpur me naya tha isliye usne rickshaw hi karne ka thana taki wo us jagah ko bhi s...

Mehnat ka rang

  Mehnat ka rang Ek maa apne baccho ke liye kya nahi kar sakti, Asha ek aisi hi maa thi jiske pati ki maut aaj se 5 varsh pehle ho gayi thi tab wo akele hi apne 2 baccho ko paalti thi. Uske baccho ka naam tha Ram aur Shyam jo abhi sirf 9 aur 10 saal ke they. Asha padi likhi nhi thi isliye pati ke gujarne ke baad wo bade bade gharo me naukarani ki kaam karne lagi jiske use acche khaase paise mil jate they jisse wo apne baccho ka bharan poshan kar sake. Usne apne dono ko paas ke ek sarkari school me likhwa diya. Asha subah jaldi uth kar sabse pehle apne baccho ke liye nashta bana kar rakh deti fir wo kaam pe chali jaya karti. Hanuman STUDIES Ek din jab wo kaam pe ja rahi thi usne raaste me budhe aadmi ko dekhi jo bhikh maang raha tha, usne use kuch paise diye aur fir aagey badh gayi. Raaste me wo har istehaar ko nihara karti jispe kuch na kuch likha hota tha jise wo padh nahi paati thi par uske aankhon me ek aisi ummid thi ki uske bacche padh likh ke ek din bada aadmi banenge. Aaj ja...

Jiten ki life - Part 1

Jiten ki life - Part 1 Ek ladka tha Jiten jiska janam aur padhai likhai sab Patna shahar me hua, lekin uska gaon Uttar Pradesh me tha, uske pitaji bahut saal pehle Patna aye they aur wahi rahne lage baad me apni wife apni Jiten ki mataji ko bhi le aye. Uska bacchapan Patna me gujra me, uske pitaji ek false ceiling design ke contractor they aur mataji ek simple si grihani thi. Jab uska 12th complete hua to 1 saal tak usne engineering ki taiyari aur Uttar Pardesh ke Bulandshahar se usne apni engineering complete ki. Uske baad usne job karne ki koshish ki lekin engineering complete hone ke bad bhi uski bahut saare back papers they isliye kahin usko job satisfaction nhi hua. Jab uski engineering complete hui to usne government job me railway ke liye apply kiya aur wo pre, mains aur typing qualify kar gya. Hanuman STUDIES Ab wo apne gaon aya kyunki usko apna caste certificate banwana tha iske liye usne apne bhatije Sonbhadra ki madad li. Lekin kuch din baad jab tehsildar uske ghar aya verif...

Dhurt Dhabe-wala

  Dhurt Dhabe-wala Kallu ne aaj acchi kamai ki, wo ek dhaba chalata hai jsime wo har tarah ki pakwaan deta tha chawal, daal, roti mausami sabji, matar paneer, malai kofta, shahi paneer, non-veg pasand karne walo ke liye chicken aur mutton ke bhi bhahut saare item available they uske dukaan pe. Hanuman STUDIES Uske dhaabe me 7 aur kaam karte they jinhe wo rahne aur khane ke alawa 7,000 har mahina pagar bhi diya karta tha. Kallu ka ek roz ka grahak tha Rakesh, ek din Rakesh uske paas aake bola, "Kallu bhai main ek kirane ki dukaan wala hoon, agar aapke nazar me koi accha aadmi ho jo imaandaar bhi ho aur kaam ki jimmedaari acche se nibhata ho to use bataye". Kallu ne kahan, "abhi to nhi hai lekin koi milega to jarur batayega". Kallu raat ko jab apna dhaba band ke ghar pahucha to apne grahak Rakesh ke baare me sochne laga ki agar wo kirane ki dukaan kholega to uska bhi bahut fayda ho jaya karega aur agar apna koi aadmi uske dukaan pe rahega to use rashan me bhi fayda mi...

Madad karke karobaar banaya

Madad karke karobaar banaya Bidesia ek seedha sada ladka hai jo kabhi kisi ki baatein maan leta turant, uske is seedhepan ki wajah se bahut log uska fayda utha liya karte they, sab usse apna kaam karwa liya karte lekin usko kabhi bhi kuch kaam padta to sab koi na koi bahana bana lete. Uske seedhe pan ke koi kayal they to bas uske parivaar wale, jo ye to jaante they ki sab uska fayda utha lekin wo dil ka bahjt saaf hai aur kabhi kisi ka fayda nhi uthata. Hanuman STUDIES Ek roz Bidesia aise hi gaon me ghumne nikla usne socha ki wo logo ki madad to kar deta hai lekin uska koi fayda nhi hota, usko bhi baakiyo ki tarah paise kamane they. Ek din uske gaon ke ek kisan jo apni bailo ko lekar apni khet jotne ja raha tha, usne Bidesiya ko bulaya aur usse madad ke liye kaha, Bidesiya ne usse kaha ki wo madad to kar dega lekin usse kuch 100 rupaye lega. Kisan to pehle bhauchakka rah gya ki iski aaj kya ho gya ab tak jo bina soche samjhe kisi ki bji madad kar deta tha ab wo paise maang rha hai, lek...

Berozgaar ko mila rozgaar

  Berozgaar ko mila rozgaar Ghanshyam abhi tak berozgaar ghuma karta tha gaon me tabhi ek din ek prashasnik adhikari aye uske gaon me aur gaon ke sabhi berozgaaro ko bewra liya jissme bas 10 logo ka naam aya aur usme Ghanshyam ka naam sabse uper tha kyunki wahi ek tha poore gaon me jo abhi tak berozgaar ghuma karta tha gaon me, baakiyo ko to kabhi kabhi kaam mil jaya karta tha. Hanuman STUDIES Kuch din baad prashasan ke kuch aadmi fir aye aye gaon me aur is baar wo un 10 logo ki naukri ki baat karne aye they. Sabko naukri lag gayi thi lagi thi, kuch ke liye kahin building banne wali jagah pe to, kuch ke liye sahar me saaf safai ka, kuch ke liye gaon me hi nahar banne ke liye kaam ka, bas Ghanshyam ek aisa tha jise ek sarkari adhikari ke ghar me naukar ka kaam mila aur usne us kaam ko dil se suikar kiya kyunki ek to saare berozgaaro me se sabse jyada berozgaar tha aur doosri ki ab wo bhi paise kama ke apne ghar walo ki madad kar pata isliye wo sabse jyada khush tha. Jis adhikari ke ...

Apada me avsar

  Apada me avsar Kallu ek biryani bechne wala jiski dukaan acchi chal rahi thi, sab uski biryani ki bahut tarif karte hai, kahte hai ki uski haatho me jaadu hai. Ek baar khane wala baar-baar uski biryani khana chhahega. Kuch din pehle ki baat hai 5 log shahar uski dukaan pe biryani kahne aye lekin us samay uski khatam hone wali thi bas 3 logo ke liye hi biryani bachi thi, sabne aapas me mil ke hi biryani khayi aur uski bahut tarif ki jaate samay unhone usse ye bhi kaha ki wo uski biryani khaane baad me bhi ayenge. Hanuman STUDIES Sab kuch accha hi beet raha tha ki acchanak khabar aa gayi ki poore vishwa me ek Torona virus naam ki bimari phail rahi hai, jisse bacchao ke liye desh ki sarkar poore desh me lockdown lagani wali hai, jisse virus nhi phaile, sirf emergency sewa chalu they jaise hospital, prashashnik karya, medical stores, bank, aur ek samay sima ke andar sabji aur kirana ki dukaan chalane walo ki, aur agar kisi ko kisi emergency ki wajah se bahar nikalna bhi pada to polic...

Shera aur Bhalu

Moral stories for kids Kids stories Motivational stories Bedtime stories Short stories Read at Hanuman STUDIES Story: Shera aur Bahlu Shera bade aaram se khana kha kar apni jhopdi me so gya tha, uski biwi kuch der baad bartan dho kar sone aa gayi, lekin kuch pal baad hi unki neend khul gayi, neend khulne ki wajah thi baarish jo aadhi ko acchanak hone lagi thi. Baarish ke saath hawa bhi itni tej chal rahi thi jiski kisi ne ummid bhi na ki hogi. Kuch der baad wo apni gahri neend me so gaye. Jab wo andar apni jhopdi me so rahe they to bahar jungle me se ek bhalu baarish se bacchta hua unke jhopdi ke paas aa gya, bhalu ne apne aap ko bachane ke liye jhopdi ke piche bane ek aur jhopdi me ghus gya jahan shera apni gaayo ko bandhata tha. Bhalu ko is samay bhuk nhi lag rahi thi, wo to abhi apne aapko baarish se bacha raha tha. Accha jagah panaah milne se wo bhalu bhi wahi so gya. Hanuman STUDIES Subah jab Shera ki neend khuli to bahar baarish ki wajah se jame paani ko dekh ke chauk gya uske tu...

Shalikram ki buddhi

  Shalikram ki buddhi Shalikram ne ek badhiya kaam kiya ki usne apni jama punji bank me ja ke jama kar diya, nhi to wo roz apne paiso ko lekar hamesha chintit rahta tha. Uske gaon walo ne kai baar use samjhaya ki wo apne paiso ko bank me ja kar jama karwa de lekin wo hi hamesha is darr me rahta tha ki kahin kabhi bank me loot ho gayi to uske paise to tab bhi chale hi jayenge. Shalikram ab ye samajh gya tha ki ghar se jyada surakshit uske paise bank me hai. Kyunki bank me sirf lootero ka darr tha par ghar pe to har tarah le logo se darr hai. Hanuman STUDIES Uske bacche bahut hi kamine they jo kisi na kisi bahane se uske paise nikal liya karte they. Shalikram ke do bete they, ek tractor chalata tha aur doosra jamindar ke kheto pe kam karta tha dono poore nashedi they jo apni kamai ko bhi daaru me uda diya karte they, unki patniya bhi unse bahut pareshan rahti thi. Isliye shalikram ne socha ki paise agar bank me kam se kam rahenge to uske bacche to use aith nhi na payenge. Shalikram k...

Society me bhoot ka darr

  Society me bhoot ka darr Shaharo me kisne socha tha ki kabhi bhut pret ke baare me log baatein karenge lekin aaj ki aisa saari society ke log jab apne-apne neend me busy they to acchanak ek chhikh ne sabki neend khol di. Abhi raat ke lag-bhag 12 hi baj rhe they. Sabne socha kahin koi bhoot to nhi na aa gya society me. Hanuman STUDIES Srivastavji ne apni balcony se jhakte hue sabse pehle poocha ki kaun hai hai, uske baad Vermaji ki awaz ayi ki chhikh ki awaz kahan se ayi aur ek ek kar ke sab - Tripathiji, Paswanji, Chaurasiyaji aur aise phir ek-ek karke baaki ke log apni apni balcony pe aa gaye. Lekin kisi ne bhi society ke us hisse me pahuchne ki himmat nhi dikhai jahan se awaz ayi thi. Lekin jab kuch der tak koi awaz nhi ayi to sab apne apne ghar me wapas chale gaye. Aur sab wapas gahri neend me so gaye, lekin abhi shayad hi koi gahri neend me soya hoga ki acchanak fir se chhihk hui jiski awaz sun kar is baar sab log sidhe society ke campus me aa gaye kyunki ye 1 ghante ke andar...

Amrish ki bahaduri

Amrish ki bahaduri Itna bada shahar, station ke bahar ka nazara dekh kar hi Amrish ke hosh udd gaye they, station ke bahar kadam rakhte hi use kai auto rickshaw-walo ne gher liya ye poochte hue ki kahan jana hai. Jaana to tha use Amprapali residency Roida sector 5 me, lekin acchambhit Amrish kuch bol nhi pa rha tha wo is asmanjas me tha ki kahin ye auto wale usse jyada paise na lele. Wo fir se station ke andar gya apne company ke boss Shantanu ko phone kiya ki wo station pe aa gya hai par auto wale usse jyada paise na lele. Boss ne use saari jaankari di fir wo bahar nikal kar ek autowale se baat kar ke usme baith gya. Hanuman STUDIES Amrish ek chhote se gaon ka rahne wala apna graduation complete kar ke job karne ke silsiye se pehli baar itne bade shahar me aya tha. Wo aur uske parivar khush bhi they ki padhai poori karne ke turant baad hi use naukri lag gayi. Amprapali Roida sector 3 wo jagah tha jahan uske company ke ek senior rahte they aur kuch din apni training poori hone tak Amri...

Fasal ka bacchao

  Fasal ka bacchao Bikram roz subah uth kar apne khet ki or tahlne nikal jaya karta hai kyunki use dekhna rahta tha ki kahin jaanwaro ne fasal to nhi na barbaad kar diya hai. Uske gaon me bahut khulle janwar ghuma karte they jo kisano ke fasal ko barbaad kar diya karte they. Aur ye sirf Bikram ka kaam nhi tha jo subah uth ke khet ki or chala jata tha aise bahut se kisan they jo subah utha kar apne apne khet ki or chala jaya karte they ye dekhne ke liye ki kahin jaanwaro ne unke faslo ko barbaad to nhi na kiya hai. Janwaro ka atank unke gaon me aisa tha ki logo ko kabhi kabhi poori raat jaagni padti thi apni faslo ko dekh bhaal ke liye kyunki agar fasal nhi bachega to wo aur unka parivar khayega kya. Iski shikayat leke wo apne gaon ke pradhan ke paas kai baar aur inki shikayat leke pradhan gaon ke sachiv ke paas kai baar gaye lekin koi hal nhi nikal pata tha. Hanuman STUDIES Bikram ne aaj thaan liya tha wo aaj kisi na kisi tarah ek jaanwar ko to jaroor hi pakad lega. Usne apne kuch ...