#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Bhalai karte rahna chhahiye

 Bhalai karte rahna chhahiye

Aise hi nahi koi amir ban jata hai, jo abhi amir hai wo bhi kisi na kisi ke mehnat ki wajah se amir bana hai us shaqs ke piche kisi na kisi ne garibi jaroor dekhi hai.

Bhalai karte rahna chhahiye kids short moral motivational bedtime story
Hanuman STUDIES

Pannalal ke paas pushtaini zaidad bahut thi uske bacche jab bade ho jayenge to unke paas kisi chiz ki kami nahi rahne wali hai. Usne abhi se adhiktar zaidad apne baccho ke naam kar rakhe they aur kuch apne paas rakhe hue tha. Ek din wo apne ghar ke chaurahe se gujar raha tha tabhi uski nazar ek garib bhikahri aurat pe padi jo bahut hi bure haal me thi. Us bhikarin ne usse kuch paise maange to usne 500 ka note nikal kar de diya. Ab Pannalal wahan se chala gya aur ek dukaan pe ja ke apne dosto ke saath baith ke baatein karne laga, usne wahan apne ek mitra ko bataya ki usne aate samay raastw me ek bhikarin ko dekha aur ye bhai bataya ki usne use kuch paise bhi de diye. Laut-tey samay wo bhikarin use fir mili.

Pannalal ne usse kaha ki kahan se aayi ho amma aur uska ghar kahan hai, budhi bhikarin ne use bataya ki wo door ek gaon se aayi hai aur uske baccho ne use ghar se nikal diya hai. Itna sunte hi Pannalal use apne ghar le gaya uski acche tarike se khatirdari ki aur agle subah wo use shahar ke ek vridha-ashram le gaya, vridh-ashram ke logo ne us budhi aurat ki poori jankaari li aur fir wo budhi aurat wahan rahne lagi. Pannalal ki wajah se us budhi bhikarin ko ek nayi zindagi mil gayi thi. Budhi aurat ko vridh-ashram me chhod kar Pannalal wapas apne gaon aa gaya.

Aise hi ek din jab pannalal chai ki dukaan pe apne dosto se baat kar raha tha to use pata chala ki uske ek mitra ka beta bahut pareshani me hai, uski biwi ne uspe case kar diya tha ki uske sasural wale use bahut tang karte hai, jabki pannalal ye bhali-bhanti jaanta tha ki uske dost ke parivar wale aisa bilkul bhi nahi hai. Apne dost ki aisi dukh bhari dastan sun ke wo apne dost se milne gaya aur poore baat ki sacchai tak jana chhaha, use wahan pata chala ki uski bete ki biwi apni saasu maa ki ghar ke kaam me bilkul bhi madad nahi karti thi aur uska pati jo kama kar lata tha wo usme se adhik paisa apne paas rakh leti thi, yahan tak to tab bhi thik tha ki uski biwi hai jo mann aye wo kare lekin wo un paiso ko apne bhau ke paas bhejwa diya karti thi. Uska pati jab usse kabhi paise maangta ghar ke kaam ke liye to uski biwi koi na koi bahana bna deti thi aur kabhi kabhi apne saas sasur pe ilzam laga diya karti thi.

Pannalal ko ek upay sujha usne apne dost ke ghar pe uski madad se kai jagah pe camera chhipa ke lagwa diya, ab camera lage 2 saptha ho chuke they, 2 saptha baad ne unse camera se recorded video dekhne ke liye kaha aur usme bahut kuch saamne aa gya ki wo aurat apne saas sasur se kaise bartaw karti thi. Pannalal ke is sujh-bujh ki wajah se uske dost ke bete ki zindagi fir se sudhar gayi, unka parivar case jeet gaya. Uske dost ke parivar walo ne Pannalal ka shukriya ada kiya. Pannalal ke is dariya dili ki tarif poora gaon karta tha ki itna amir hote hue bhi Pannalal kitna imandaar aur ground to earth vyakti hai.

Moral of the story:

Hamesha bhalai karte rahna chhahiye, jitna bhi aapke bas me ho.

Warning:

Beware of cyber-fraudulent.

Post a Comment

0 Comments