#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Neki kar dariya me daal

 Neki kar dariya me daal

Ramjanak apne ilaake ka bahut hi amir aadmi tha uske paas nhi bhi to 300 ekad se zyada hi zamin rahi hogi, itna dhan hone ke bovzood usne kabhi bhi apne dhan pe ghamand nhi kiya. Uska ye vyavahar gaon walo ko bhi pasand thi aur uske yahan ghar pe ya khet me kaam karne hi kyun na ho sabko pasand thi.

Neki kar dariya me daal kids short moral motivational bedtime story
Hanuman STUDIES

Ramjanak ke 3 bete they aur teeno me bhi usne aisa hi vyavahar diya tha ki kisi ke paas kitna bhi dhan kyun na ho jaye usko doosro ki izzat karna nhi bhulna chhahiye aur kabhi bhi doosro ko apne se nicha nahi samajhna chhahiye. Ramjanak ke teeno ladke padhai me bhi awwal they, unke padhahi ke charche school se lekar gaon tak hote they. Ramjanak roj ki tarah apni khet ki taraf nikla tahalne ko apni fasalo ko dekhne. Tahalte tahalte usne dekha ki uska ek majdoor khet me leta hua hai, wo aur paas gya to paya ki wo to adhmara pada hua hai, usne wahi se awaz lagai aur kuch hi pal me wahan 5 log pahuch gaye. Sabne us majdoor ko utha kar use uske ghar tak pahucchaya aur doctor se uska ilaaj karaya gya. Sab koi Ramjanak ka shukragujar tha nahi to us majdoor ki jaan bhi jaa sakti thi. Agley din Ramjanak uske ghar gaya aur uska haal chaal poocha. Uske baad wo wahan se chala gya pradhan ke paas, Ramjanak gaon ke logo ki pareshaniyo ko hamesha gaon ke pradhan tak pahucchata tha taki unki samasyao ka hal ho sake.

Aaj Ramjanak ne apne 5 khaas dosto ko 4 baje ghar pe khaane ke liye bhi bulaya tha, wo pradhanji se mil kar turant apne ghar gya, wahan naha dho kar taiyar ho gaya apne dosto ke swagat ke liye. Thik 4 baje uske dost aa gaye, Ramjanak ki unse dosti bahut poorani thi unme se 3 to Ramjanak ke bacchpan ke langotiye yaar they. Sab milkar pehle khana khaya fir baith kar baatein karne lage. Unme se ek dost bahut garib tha, Ramjanak ne jab uska haal chaal poocha to usne usse kaha ki uski beti shaadi ki karni hai aur uske paas utne paise nhi hai. Ramjanak ne ye baat sunte hi usne apne dost se aur kuch nahi poocha bas itna bola ki tumhari beti meri beti hai aur uske shaadi me jitna kharcha ayega wo sab wahi uthayega. Fir Ramjanak unke saath ghumne tahalne chala gaya aur uske baad usne apne dosto ko vida kiya.

Ek din Ramjanak ke paas kuch adhikari aye aur bole ki uski zamin ki kuch hisse ko zabt kiya jayega kyunki uspe kisi ne apna dawa kiya hai. Ramjanak ne ek pal ke liye socha aur bola ki thik hai aur jisne bhi us zamin pe apna adhikar bataya tha uska poora beura le liya. Ab Ramjanak ne lekhpal ko bulawaya aur poori jaankari li aur jiska naam saamne aya wo tha Tulsiraj jo kabhi bhi usse sidhe muh baat nahi karta tha aur wo hamesha Ramjanak ke sampatti se jalta tha, ye baat kisi se nahi chhupi thi. Lekin Ramjanak jaisa nek aur bedaag insaan poore ilaake me nahi tha isliye uske khilaf koi bhi saboot nahi mila ki uska koi jurm hai us zamin ke maamle me aur jo zamin zabt kiya gya tha wo use wapas mil gaya aur Tulsiraj ko kuch dino ke liye jail ki saza mili aur Ramjanak ko kuch nhi hua. Tulsiraj ne jo kiya tha uska parinam usko bhugatna pada.

Moral of the story:

Neki kar dariya me daal.

Warning:

Beware of cyber-fraudulent.

Post a Comment

0 Comments