#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Amrendra ki Janakpur me entry

 Amrendra ki Janakpur me entry

Kisne socha tha kisi ki nasib aisi bhi chamak sakti thi,shayad aisi hi kismat leke paida hua tha Yograj jiski ye kahani hai.

Amrendra ki Janakpur me entry kids short moral motivational bedtime story
Hanuman STUDIES

Yograj ek garib rickshaw chalane wala tha, usne dasvi tak padhai ki thi, wo Janakpur station se Janakpur shahar ki gali-gali se wakif tha. Wo sabhi sawariyo ke saath apne mehman ki tarah vyavahar karta tha, unhe jahan bhi jana hota tha wo poori tatparta ke saath aur poori suraksha ke saath unhe wahan pahucha deta tha. Ek din shaam ke waqt jab wo station ke bahar train ka intezaar kar rha tha ki koi sawari use bhi mil jaye. Kuch der baad ek train aayi aur uska nasib accha tha ki use ek sawari jald hi mil gya jise Ashok Vihar colony jana tha, sawari ne Yograj se mol bhav kiya aur wo chalne ko taiyar ho gya. Ashol vihar colony station se 5 km ki doori pe tha isliye Yograj ne us sawari se auto-rickshaw lene ki bji salah di lekin wo Janakpur me naya tha isliye usne rickshaw hi karne ka thana taki wo us jagah ko bhi samajh aur jaan sake.

Yograj ne sawari ka samaan laada aur chal diya Ashok Vihar colony ki or. Yograj kuch bolta usse pehle us sawari ne hi usse pooch liya ki yahan ka jila adhikari karyalay kahan hai. Yograj ne abhi tak kabhi aise sawari ko apne rickshaw me nahi baithaya tha jise jiila adhikari karyala jana ho isliye use us jagah ka pata nhi tha. Yograj ne mana kar diya ki use nahi pata, fir us sawari ne usse poocha ki tum ek din me kitna kama lete ho, is baat pe Yograj ne haste hue jawab diya ki agar din accha raha to ek din me wo kabhi kabhi 500-500 tak kama leta hai. Fir usne usse poocha ki wo rahta kahan hai aur uske parivar me kitne log hai, Yograj ne bataya ki wo paas ki hi ek jhuggi jhopdi wale jagah me rahta hai aur uske parivar me use mila kar 4 log hai, wo, uski biwi aur uski 2 betiya jo abhi padhai karti hai. Yograj masti me rickshaw chalate hue us sawari ke sabhi sawalo ka jawab deta gya. Fir sawari ne usse poocha  ki kya rickshaw chalane ke alawa bhi uska koi aur bhi dhanda hai kya, Yograj ne iske jawab me kaha ki kuch aur nahi par uski biwi doosro ke yahan khaana banabe aur bartan dhone ka kaam karti hai aur wo dono mehnat kar ke apne parivar ka bharan poshan karte hai aur apne bacchiyo ko padhate hai.

Yograj ab asmanjas me tha uski itni umar beet gayi rickshaw chalate chalate lekin kabhi kisi ne usse is tarah ka sawal nahi poocha tha. Usne thoda darte hue kahan ki sahab aap kaun hai aur kya karte hai?....uske is sawal ka jawab use mila ki wo Janakpur ka naya jila adhikari hai. Ye sunte hi Yograj ke hosh udd gaye usko ab darr lagne laga. Ab Yograj ko usse kuch pucchne ki himmat nahi hui. Itne samay me Yograj ne use apne jagah pe pahucha diya tha. Ab us sawari ne Yograj se uska bhada 10 guna jyada diya. Yograj ne to apni kismat khuli hui samjhi usne apne sawari ko sammaan ke saath use Ashok Vihar colony tak pahucha diya tha. Usne Yograj se jaate-jaate kaha ki jila adhikari karyala ka bhi pta jaan le aur kabhi kisi chiz ki badi diqat ho to unse smapark kar sakta hai.

Yograj ne darte hue unse uska naam poocha aur unhone bade vinamrta ke saath apna naam Amrendra bataya. Fir kya kisi jila ka jila adhikari jab rickshaw me baithne wala aa jaye to us jile ka uddhar hi hoga, shaamm se  ab raat ho gayi thi aur ye sochta hua Yograj wahan se raaste bhaar sawari ki talaash karte hue apne ghar ki or chal diya.

Moral of the story:

Kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai.

Warning:

Beware of cyber-fraudulent.

Post a Comment

0 Comments