#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Kacchue aur khargosh ki nayi race

Kacchue aur khargosh ki nayi race

Jungle me bahut shanti thi, dopahar ka waqt tha aur garmi apne charam seema pe thi, sabhi jaanwar apne apne ghar me aaram kar rahe they. Chahe wo jungle ka raja sher ho ya fir khargosh, jaise jaise shaam hoti gayi aur mausam me thodi thandak aati gayi sabhi jaanwar aaram or khane ki talaash me apne ghar se bahar nikalne lage. Kargosh bhi khane ki talaash me bahar nikla ki shayad use kuch khane ko mil jaye tahalte tahalte wo nadi ke kinaare pahuch gaya jahan use ek kachhua dikha. Kacchue ko dekhte hi khargosh to shararat sujhi, usne kacchue se kaha ki chalo ek race lagai jaye, kacchue ne khargosh ki is race ko suikar kar liya. Race lag-bhag 1 km lambi thi air race 3 din baad thi.

Kacchue aur khargosh ki nayi race kids short moral motivational bedtime story
Hanuman STUDIES

Race ki baat jungle me aag ki tarah fail gayi 3 din me lag-bhag saare jaanwaro tak ye khabar pahuch gayi ki khargosh or kacchue me race hone wali hai wo bhi 1 km lambi race. Race wale din saanp, bicchu, bhediya, siyar, suar, bakri, bhalu, haathi, sab ikattha ho gaye they yahan tak ki jungle ka raja sher bhi unke is race ko dekhna chhahta tha. Race shuru hui, jungle ki sabse unchi ped pe ek gidh baitha tha jo race ki saari jaankari baki jaanwaro tak pahucha raha tha khargosh ne badi teji se shuruat ki aur wo kacchue se aagey nikal gya. Kacchua to apni raftaar se hi daud raha tha lekin tha wo khargosh se dheema hi. Kuch samay baad hi race ka ant ho gya aur khargosh race jeet gya. Kacchue ko sharmindagi hui aur wo kuch din tak apne ghar se bahar hi nahi nikal raha tha.

Lag-bhag 1 saptah baad kacchua apne ghar se bahar nikla is baar usne apne dost bhalu se poocha ki kya usne kahin khargosh ko dekha hai. Bhalu ne use bataya ki usne khargosh ko nadi ke paas jaate hue dekha tha. Kacchua uski talaash me nadi ke paas pahucha aur use khargosh wahi mila. Is baar kacchue ne khargosh ko race ke liye chunauti di lekin race nadi me tairaaki ki thi, khargosh ne uske is chunauti ko swikaar kar liya. Is baar bhi race nadi me lag-bhag 1 km ki thi aur 3 din baad hone wali thi. Is baat ki khabar fir se jungle me aag ki tarah fail gayi aur saare jaanwaro tak pahuch gayi. 

3 din baad race ka din aya aur saare jaanwar fir se jut gaye race ko dekhne ke liye. Khargosh pahucha nadi ke paas jahan saare jaanwar aur kacchua pehle se hi khargosh ka intezar kar rahe they. Is baar fir se saanp, bicchu, bhediya, siyar, suar, bhalu, cheetah jaise saare jaanwar aur raja sher bhi aya race dekhne ke liye. Race shuru hui aur saare jaanwaro ne khargosh aur kacchue ka hausla badhane lage. Lekin race nadi me hone ki wajah se is baar kacchue ne baaji maar li. Khargosh ko ye samajh aa gya ki sabki apni apni jagah pe ahmiyat hoti hai.

Moral of the story:

Sabki apni apni jagah pe ahmiyat hoti hai.

Warning:

Beware of cyber-fraudulent.

Post a Comment

0 Comments