#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Jiten ki life - Part 1

Jiten ki life - Part 1

Ek ladka tha Jiten jiska janam aur padhai likhai sab Patna shahar me hua, lekin uska gaon Uttar Pradesh me tha, uske pitaji bahut saal pehle Patna aye they aur wahi rahne lage baad me apni wife apni Jiten ki mataji ko bhi le aye. Uska bacchapan Patna me gujra me, uske pitaji ek false ceiling design ke contractor they aur mataji ek simple si grihani thi. Jab uska 12th complete hua to 1 saal tak usne engineering ki taiyari aur Uttar Pardesh ke Bulandshahar se usne apni engineering complete ki. Uske baad usne job karne ki koshish ki lekin engineering complete hone ke bad bhi uski bahut saare back papers they isliye kahin usko job satisfaction nhi hua. Jab uski engineering complete hui to usne government job me railway ke liye apply kiya aur wo pre, mains aur typing qualify kar gya.

Jiten ki life part 1 kids short moral motivational story
Hanuman STUDIES

Ab wo apne gaon aya kyunki usko apna caste certificate banwana tha iske liye usne apne bhatije Sonbhadra ki madad li. Lekin kuch din baad jab tehsildar uske ghar aya verification ke liye to use pata chala ki uska caste certicate banwaya ja raha hai usme kuch documents farji yani usme editing karke dala gya hai jiski jaankari Jiten ko bilkul nahi thi, uske jaankari ke begair wo nakli kagaz usme lagaye gaye they. Ek anpadh bhi jaanta hai ki agar sarkari kaam me nakli kagaz lagaye jayenge to police case ho sakta hai. Jiten ko apna documents banwana tha lekin farji tarike se nahi. Fir kya usne lekhpal se kaha ki uske application ko reject kar diya jaye. Lekhapal sahab ne waisa hi kiya aur ab wo fir se apne kagaz banwane me lag gya......

To be continued...

Post a Comment

0 Comments