#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Lakdi ke karigar

Lakdi ke karigar

Raipur station pe subah-subah train aake ruki aur usme se do log utre, Jai aur Veeru, dono pahli baar Raipur aye they aur dono hi acche mitra they. Unko ek kaam ke silsile se wahan bulaya gya tha. Jai aur Veeru dono hi ek manjhe hue lakdi ke kaarigar they. Un dono gaon ke chaudhary sahab ne shahar me ek chhoti si dukan me kaam karte hue dekha tha aur wo un dono ke kaam ke kayal ho gaye they tabhi unhone unse baat ki aur kaha ki Raipur aa jao wahan unke liye bahut hi kaam hai.

lakdi-ke-karigar kids short moral motivational bedtime story
Hanuman STUDIES

Jai aur Veeru station se bahar nikalne ke baad ek rickshaw wale se bole ki unhe Chaudhary sahab ke yahan jaana hai, itna sunte hi rickshaw wale ne kaha ki baithiye bhai bas ₹ 50 lagenge. Rickshaw wale jis tarike se unhe chaudhary sahab ke yahan le jaa raha tha usse unhe ye to abhas ho gya ki Chaudhary sahab yahan ke koi jaane maane hasti hai aur kuch samay baad wo dono Chaudhary sahab ke kile ke paas they. Wahan pahuch kar jab we kile ke andar gaye to unka bade aao bhagat ke saath swagat kiya gya fir unke rahne wale kamre me unhe aaram karne ke liye bhej diya gaya. Dopahar ke waqt jab unki neend khuli to wo Chaudhary sahab se mile aur Chaudhary sahab ne unhe sab bata diya ki unka kya kya kaam hai. Chaudhary sahab apne kile ke poorane darwazo ko hatwa kar naya aur shandaar darwaze lagwana chhahte they uske saath hi jahan jahan lakdi ke kaam kiye gaye they, un sab jagaho pe unhe nayi, aakarshak aur shandaar kalakritiya chhahiye thi. Unhone ye bhi kah diya ki wo dono poore kharch ka anumaan laga kar unhe bta de.

Fir kya tha agle din Jai aur Veeru ne poore kile ki lakdiyo ke darwaze aur kalakritiyo ko acche se dekh liya aur unko badalne ke liye jitna kharcha ata uska poora anuman taiyar kar liya. Ab uske agle din wo dono bazar gaye Chaudhary sahab ke saath lakdi dekhne ke liye aur jahan jahan unhe lakdi ki quality pasand nahi aa rahi thi to wo Chaudhary sahab ko bata dete they. Aisa karte hue shaam hone ko aayi par koi acchi quality ka lakdi nhi mila, fir Chaudhary sahab ne ghar chalne ke liye kaha. Agle din Chaudhary sahab un dono jungle le gaye jahan unhone se jungle ke adhikariyo se baat kar lakdi ki vyavastha ki aur wo lakdi sakhua ke they isliye Jai aur Veeru ne bhi use badhiya bataya, fir Chaudhary sahab to turant santusht ho gaye. Lakdi ki vyavastha hote hi unhone unhe kaha ki ab wo dono ab turant hi apne kaam me jut jaye.

Agle din subah nasta karne ke baad Jai aur Veeru ne jis darwaze se kaam ki shuruat karne ki sochi thi uski poori naapi li aur lag gaye us ki nayi kiwad banane me. Kila to alishaan tha hi uske andar ki ki gayi lakdi ka kaam bhi bahut majboot tha, isliye ek darwaze ko hi pehle use nikalne se lekar naye daagey rwaze ko lagane me lag-bhag 4 din lag ja rahe they. Is prakar Jai aur Veeru ne poore 6 mahine kile ke kaam ko anjam diya aur tab ja kar unhe chhuti mili. Is kaam ke Chaudhary sahab ne unhe ummid se jyada paise bhi diye. Unke kaam ki prashansha door-door tak hone lagi thi. Lekin kaam khatam hone ki wajah se ab wo dono wapas apne shahar jana chhahte they. Chaudhary sahab ne unhe kaha ki agar yahi pe apni koi dukaan kholna chhahe to wo unki madad kar denge. Lekin unhe ab apne parivar se bhi milna tha.

Chaudhary sahab ne unhe nahi roka par ye jaroor kaha ki agar unke paas koi accha rakam dene wala kaam ayega to wo unse jaroor sampark karenge. Jai aur Veeru ne khusi se unke is prastav ko svikara aur fir Chaudhary sahab se vida lekar Raipur se chale gaye.

Hightlight of story:

Hunar bekar kabhi nahi jata.

Warning:

Beware of cyber-fraudulent.

Post a Comment

0 Comments