#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Gunehgaro ko saza

 Gunehgaro ko saza

Aaj 1 mahina beet gya Ramgulzar ko jail me rahte hue usne apni biwi pe haath uthaya tha jiski saza use mili thi, vakil sahab atey usko jamanat ki rakam aur upay sujhate lekin wo baahar nikalne ko taiyar nhi tha. Uski biwi ek bahut hi acche nature ki aurat thi, usne nahi socha tha ki usse bhi aisi galti ho jayegi ki uske pati ko uspe haath uthana padega aur wo jail bhi ja sakta hai, lekin honi ko kaun taal sakta hai.

Gunehgaro ko saza kids short moral motivational bedtime story
Hanuman STUDIES

Baat aaj se ek mahine pehle ki hai Ramgulzar ki biwi Usha khet ki or jaa rahi thi apni saheliyo ke saath khet me se saag nikalne ke liye. Khet ghar se kuch doori pe thi tabhi wahan se kuch manchale gujare jinhone Usha aur uski saheliyo se kuch galat baat kah di, unke galat shabdo ka virodh Usha aur uski saheliyo ne kiya to wo lafange unhe baad me dekh lene ka dhamki deke chale gaye. Un ladko me se ek ladka gaon ke ek bahut hi amir ghar ka tha jisko gaon ke har ghar ki jaankari thi, wo agle din apne dosto ke saath usi jagah pe un aurato ka intezaar kar raha tha lekin aaj wo sab wahan se nahi gujari. Unhone bahut der tak unka intezar kiya aur wo jab wo sab nahi ayi to unhone unke ghar jaane ka nischay kiya. Sab ka ghar alag alag tha aur din ke is samay me sabke pati apne apne kaam se bahar ja chuke they aur bacche school ja chuke they.

Sab koi sirf Usha ke ghar gaye aur wahan shor gul karne lage ki tum kal to milne aayi hi thi aaj kyun nahi ayi, wo bahut intezaar kar rahe they uska, ye bolne bhar ki deri ki ados pados ke log bhi wahan jutne lage sabne jab ye suna to unhone un logo ka virodh bhi kiya ki ye log yahan aa kar aisi anaap shanaap baatein kar rahe hai aur gaon ki aurto ko badnaam karne ki koshish kar rahe  hai. Jyada logo ki jutne ki wajah se wo lafange to us samay wahan se bhaag gaye lekin uske baad Usha aur uski saheliya jo sab pichhle din khet ki or gayi thi unhe bula kar saara maajra samjhne ki koshish ki. Us samay tak un sab ke pati bhi aa chhuke they aur fir u hone bhi saari baatein suni aur sabne apni apni biwio se kaha ki kal agar kuch aisa hua tha to unhone kal hi iski jaankari unhe kyun nahi di. Fir kya tha sab milkar un lafanago ke ghar gaye aur unhe kaha ki dobara unke ghar aane ki himmat nahi kare aur unki auroto ko agar dobara aise tang kiya to wo police me complain kar denge.

Kuch dino tak to mamla shaant raha lekin ek din acchanak ek ladka gaon me aya aur wahan kaam ki talaash karne laga wo ladka khaas kar ke un gharo ke paas hi gaya jin gharo ki aurato se un lafango ne badtamizi ki thi. Us ladke ka naam Shyam tha, Usha ki ek dost ne use apne pati se baat kar ke ghar me naukar rakh liya aur dheere dheere us ladke ne naukar ban kar un sabhi aurato se jaan pehchan bana liya, usne Usha se bhi acchi khaasi dosti kar li. Lagbhag 1 saal beet gaya aise hi ek din jab sab subah uthe to unhone paya ki unke ghar me chori hui hai aur wo naukar bhi bhaga hua hai. Sabne ne mil kar police se complain kiya aur usko pakadne ke liye guhaar lagai kyunki ek to wo sab jyada amir bhi nahi they aur uper se chhori hone ke baad to unki jama punji bhi chali gayi thi.

Karib ek mahina beet gya, na hi us chor ka pata chala aur na hi chori ke samaano ka. Ek roz jab Usha aur uski saheliya fir se khet ki or ja rahi thi to wahi manchale jinhone unhe tang kiya tha wo raaste me mile aur Shyam bhi unke saath tha jo unke gharo me naukar ka kaam karta tha. Usha aur uski saheliyo ne jab Shyam se kaha ki tum chor ho to wo sabhi ladke unse ladne lage ki uske dost ko kaise ye sab chor bol rahe hai. Ye sun kar to sab ke hosh udd gaye ki Shyam un lafango ka dost hai. Usha ne aao dekha na taao usne turant hasiye se Shyam ke haath me vaar karke uske zakhmi kar diya. Khoon dekh kar sabhi manchale wahan se bhaag gaye aur shaam hote hote ye khabar poore gaon me fail gayi aur fir police bhi ayi Usha ko pakadne ke liye. Us samay Ramgulzar se galti ho gayi ki usne apni biwi pe gusse me haath utha diya par apni biwi ka jurm usne apne sir pe le liya jiski saza use jail mili. Hala ki galti Ramgulzar aur uski biwi ki nahi thi aur gaon walo ne bhi unka samarthan kiya isliye Ramgulzar 6 mahine ki saza kaat kar bahar aa gya aur un manchalo court se notice mila ki agar unhone aisi koi galti dobara ki to unhe bhi karawas ki saza sunai jayegi, Shyam ko chori ke jurm me giraftaar kar liya gya aur thoda bahut chori ka samaan police ko mila bhi, baaki usne kahin na kahin kharch kar diye they jo use wapas karne ka aadesh diya gya.

6 mahine ki saza kaat kar jab Ramgulazar jail se nikalne wala tha to use lene uski biwi, uski saheliya, un saheliyo ke pati aur gaon ke bhi log pahuche they. Bahar nikal kar usne un sabhi ka abhaar jataya aur Usha ke saath ghar pe aa gya aur apne baccho se mila.

Moral of the story:

Gunehgaro ko saza milni hi hai.

Warning:

Beware of cyber-fraudulent.

Post a Comment

0 Comments