#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Jiten ki life - 2

Jiten ki life - 2

Main ek din aise hi apne ghar ke chhat pe talahane nikla to dekha ki door kuh log bhaag rahe hai, kya hua poochne pe pata chala ki ek ladke ka accident ho gaya hai. Main wahan tak to nahi gaya lekin ye jarur sunne ko mila ki uske khopdi me chhot aayi hai aur thida bahut uske sharir ke doosre hisse me bhi.

Jiten ki life 2 kids short moral bedtime story
Hanuman STUDIES

Gaon ke bahut saare log wahan ja chuke they use dekhne ke liye aur wahan bahut bheed bhi gayi thi. Main us bheed ka hissa nahi hona chhahta tha, waise hu us ladke ko chhot lagi hogi kas kar us par wahan ja kar bheed bhi lag gayi thi jam kar. Gaon ke log jab us jagah se wapas ayt to maine unse poocha ki kya hua to unhone bataya ki sab apne apne kaam me aur vyast tha tabhi ek motor-cycle pe ek ladka bahut speed se hamare gaon se Bhavan-purva ki or ja raha tha tabhi uska motor-cycle kharab sadak pe fisal ke gir gaya aur ek bahut hi bada dhul ki andhi jaisi uth gayi, jise dekha kar aur bhi log hakke bakke rah gaye. Uske girne ke baad uske gaon ke log use wahan se lekar chale gaye aur uske motorcycle ki tukdo ko bhi lekar chale gaye aur uske khoon ko bhi wahan pade reto se dhhak diya. Jab gaon ke saare log wahan se wapas aa gaye to main us jagah pe gaya jahan motor-cycle geeri thi.

Wahan pahucha to 3 bacche bhi us ghatna ki aapas me hi vyakhya kar rahe they, maine unse poocha ki kya hua tha to unhone acche se us ghatna ka varnan karne lage ki motor-cycle bahut hi spees se aa rahi thi aur us retile jamin pe fisal kar wo uske motor-cycle ke bhi kuch hisse zamin pe bhi gire pade they jo maine bhi dekhe they wahan khoon bhi gira tha us ladke ka jo ret ke niche tha, main wahan us jagah ko dekh hi raha tha ki ek royal enfield pe 2 log aye aur pooche lage ki wo ladka kahan gaya jo yahan gira tha main e unhe bataya ki uske gaon ke log aakar use le gaye. Un dono me se ek ke haath me darati thi jisse ganna ko kata jata hai, mere itna bolte hi wo wahan se chale gaye. 

Main bhi apne gaon ki or wapas jaane laga aur raaste me yahi sochta raha ki gaon pe maine kai logo ko is tarah se gaadi chalate hue dekha hai jaise unhe apne jaan ki parwah to hai hi nahi par doosro ki jaan ki parwah bhi nahi hai, aur unke wajah se doosro ki bhi jaan ja skati hai, aisa kabhi kisi ke saath na ho iske liye unke ghar wale bhi unhe nahi samjhate. Us bacche ki agar jaan bacch jati hai to wo is baat ka khayal rakhe ki jaan kimti hoti hai, khud ki jaan ki bhi parwah kare aur doosro ki jaan ki bhi.

Moral of the stroy:

Gaadi dhyan purvak chalaye nahi to kisi aur ki lapar wahi ki wajah se kisi aur ki jaan jaa sakti hai.

Warning:

Beware of cyber fraudulent.

Post a Comment

0 Comments