#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Mehnat ka rang

 Mehnat ka rang

Ek maa apne baccho ke liye kya nahi kar sakti, Asha ek aisi hi maa thi jiske pati ki maut aaj se 5 varsh pehle ho gayi thi tab wo akele hi apne 2 baccho ko paalti thi. Uske baccho ka naam tha Ram aur Shyam jo abhi sirf 9 aur 10 saal ke they. Asha padi likhi nhi thi isliye pati ke gujarne ke baad wo bade bade gharo me naukarani ki kaam karne lagi jiske use acche khaase paise mil jate they jisse wo apne baccho ka bharan poshan kar sake. Usne apne dono ko paas ke ek sarkari school me likhwa diya. Asha subah jaldi uth kar sabse pehle apne baccho ke liye nashta bana kar rakh deti fir wo kaam pe chali jaya karti.

Mehnat ka rang kids short moral motivational bedtime story
Hanuman STUDIES

Ek din jab wo kaam pe ja rahi thi usne raaste me budhe aadmi ko dekhi jo bhikh maang raha tha, usne use kuch paise diye aur fir aagey badh gayi. Raaste me wo har istehaar ko nihara karti jispe kuch na kuch likha hota tha jise wo padh nahi paati thi par uske aankhon me ek aisi ummid thi ki uske bacche padh likh ke ek din bada aadmi banenge. Aaj jab wo ek ghar me jhadu laga rahi thi maalik ke chhote bete ki galti ki wajah se ek gamla gir kar tut gaya, tab wo baccha apne mummy papa ke darr se ek kone me dubak gaya. Maalkin ke aane ke baad jab wo Asha se poochi ki ye kaise tuta to usne kah diya ki uski galti ki wajah se wo gamla tut gya, gamle ki kimat bahut jyada thi isliye Asha ko bahut daant bhi padi aur uski maalkin ne uske pagaar me se paise kaatne ki baat kahi. Asha bas bardaast kar ke rah gayi lekin uske paise ka nuksaan bhi ho gya.

Aisa karte karte bahut baras beet gaye ab Asha ka bada ladka 9th class me chala gya tha usne socha ki uske bade bete ko ab acche private school me bharti kara diya jaye. Usne apni poori bachat dekhi lekin abhi bhi bahut kam pad raha tha, Ram ne maa se kaha ki main sarkari school me hi padhunga aur acchi result se pass hounga. Ye sunkar Asha ka hausla badha aur wo ab Shyam ke padhai ke liye paise jutane lagi. Samay gujra aur 10th ka exam najdik aa gya, jisme Ram ne bahut accha pardarshan kiya. Maa aur bhai ke is parishram Shyam ki bhi bahut himmat badhi aur wo bhi ab bahut mann laga kar padhai karne laga.

Aur kuch dino baad Ram ka parinam aa gaya jisme usne acche anko ke saath 1st division se uttirn hua. Asha ne apne beto ki mehnat ki tarif ki aur use apne parishram ka rang dikhne laga tha. 

Moral of the story:

Mehnat hamesha rang laati hai.

Warning:

Beware of cyber fraudulent.

Post a Comment

0 Comments