Moral stories for kids
Kids stories
Motivational stories
Bedtime stories
Short stories
Read at Hanuman STUDIES
Story: Shera aur Bahlu
Shera bade aaram se khana kha kar apni jhopdi me so gya tha, uski biwi kuch der baad bartan dho kar sone aa gayi, lekin kuch pal baad hi unki neend khul gayi, neend khulne ki wajah thi baarish jo aadhi ko acchanak hone lagi thi. Baarish ke saath hawa bhi itni tej chal rahi thi jiski kisi ne ummid bhi na ki hogi. Kuch der baad wo apni gahri neend me so gaye. Jab wo andar apni jhopdi me so rahe they to bahar jungle me se ek bhalu baarish se bacchta hua unke jhopdi ke paas aa gya, bhalu ne apne aap ko bachane ke liye jhopdi ke piche bane ek aur jhopdi me ghus gya jahan shera apni gaayo ko bandhata tha. Bhalu ko is samay bhuk nhi lag rahi thi, wo to abhi apne aapko baarish se bacha raha tha. Accha jagah panaah milne se wo bhalu bhi wahi so gya.
Hanuman STUDIES |
Subah jab Shera ki neend khuli to bahar baarish ki wajah se jame paani ko dekh ke chauk gya uske turant baad wo apni bandhi gaayo ko dekhne pahucha. Wahan wo ek bhalu ko soya dekh pehle to chauka phir uske baad wo shanti se wahan se nikal gya. Usne aakar apni biwi ko ye baat batayi aur ye bhi bataya ki gaay abhi bhi surakshit hai shayad bhalu baarish se bacchne ke liye wahan aa kar chhup gya hai. Ab wo is soch me they ki agar bhalu ki neend khuli aur wo gaayo ko apna shikar bana liya tab to unka bahut nuksaan ho jayega. Shera ko ek tarkib sujhi aur usne wo tarkib apni biwi se batai. Kuch der baad Shera ne jor ki awaz lagai sher aya sher aya aur uski biwi chhilane lagi bacchao bacchao, kuch der baad sher ki khabar sun kar aas paas ke log bhi wahan jut gaye, aur itni jor ki awaz sun kar bhalu ki bhi neend khul gayi.
Neend khulte hi bhalu is soch me doob gya ki raat ki baarish se to wo bach gya, lekin sher aya hai to gaon wale to sher ko to nahi chhodenge par jab ek bhalu yani use bhi dekhenge to use bhi nahi chhodenge. Ab use apni jaan ki chinta satane lagi, usne bina kuch soche sher ka khayal nahi karte hue ek lambi dahaad lagai jisse gaay sab darr kar awaz nikalne lagi wahi Shera bhi darr gya ki kahin bhalu uske gaayo ko to shikar nhi na banane laga. Wo kuch logo ke saath gaushala ka darwaza khola aur darwaza khulte hi bhalu ne jhapatta maarte hue wahan se bhaag nikla. Gaon wale sher ko to nhi par ek bhalu ko dekh kar jarur darr gaye, ab poora gaon us bhalu ke peeche jungle ki or chal diya ki kahin bhavishya me ye bhalu unka ya unke kisi janwar ka shikar nhi kar de.
Jungle ke sannate me gaonwalo se bacch kar bhalu jungle ke sabse lambe ped pe chhad gya, par gaonwale ye jaante they ki bhalu ko ped pe bhi chhadna ata hai isliye wo jyada der unse bacch nhi paya. Ab bechara bhalu karta to kya karta. Tabhi use door me kuch gaadiya jaati hui dikhai di, bhalu wahan pahuch gya, khush-kismati se us gaadi me van-vibhag ke kuch karamchhari baarish ke baad jungle ka jayza lene nikle they. Unhone pehle us bhalu ko dekha aur fir ye bhi dekha ki bahut saare log us bhalu ki talaash bhi kar rahe hai. Van-vibhag ke kuch karamchhari un logo ke paas gya aur unhe samjha bujha ke unhe wapas ghar bhejne me kamyab ho gaye wahin unhone bhalu ko bhagate hue surakshit jagah pe bhi pahucha diya. Aur is tarah Shera aur gaon-walo aur bhalu ki jaan me jaan ayi.
Moral of the story:
Sujh bujh se kaam liya jaye to jaan bacchai bhi ja skti hai
Warning:
Beware of cyber-fraudulent.
0 Comments