Imaandaar gol gappe wala
Ramesh ek gol gappe bechne wala tha wo roz subah uth kar apni theli taiyar karta aur nikal padta gol gappe bechne. Ek din aise hi wo subah utha, apne din charya ka kaam khatam karne ke baad wo lag gya gol gappe banane me, gol gappe banane ke baad usne gol gappe ka paani banaya aur uske baad usne jo kabuli chana bhiga rakha tha uska masala banaya. Fir wo lag gya apni theli taiyar karne me. Sabse pehle usne apne gol gappo ko rakha uske kinare usne uska paani rakha aur doosri kinare usne gol gappe ka masala rakha saath hi pine ka paani rakha jo wo apne grahako ke liye rakhe hue tha wo uske paas khane aate they aur ek or usne kachre ki peti rakh diya, jisme log gol gappe khane ke baad pattal usme rakh diya karte they. Saari taiyari karne ke baad wo nikal pada apne gol gappe bechne.
Hanuman STUDIES |
Wo apni theli to dopahar se hi lekar nikal jata hai, lekin asli bikri hoti hai shaam ko shaam jab log apne gharo se kuch samaan lene nikalte they, ya gujarne nikalte they, kuch log apne kaam wapas laut rhe hote they to apne yaar dosto ke saath gol gappe ki theli pe ruk kar apna muh ka swad badal lete, wahi kuch bacche apne mummy air papa se gol gappe khane ka zid karne lagte they. Aise hi karte karte Ramesh apne gol gappe bech diya karta tha. Aaj ka kaam uska khatam ho chuka tha wo apni theli samet kar apne ghar ki or chal pada. Agli subah fir wahi kaam.
Ek din baat hai jab shaam ko wo apni theli lekar bazaar me khada tha to uske paas kuch log aye unke kandho pe unke bag they aur unme se kuch ke haatho me kuch samaan bhi tha thailiyo me rakha hua tha. Sabne apne kaam ki ghar ki aur aapsi vyavahar ki baaten kar rhe they, unhone gol gappe khaye aur wahan se chal diye. Kuch der baad Ramesh ka dhyan uski theli par rakhe ek thaili pe gya, wo samajh gya ki ye thaili un logo me se hi kisi ka hai jo wahan bhul gya tha. Usne apne mann me socha ki agar koi ise wapas lene nahi aya to wo kya karega, wo is baat ko leke bhi pareshan tha ki usme kuch bhi ho sakta hai. Ab bahut der ho chuki thi uske gol gappe bhi khatam ho chuke they, usne socha ki abhi wo is thaili ko apne saath leke chala jaye aur kal fir apne saath lete ayega. Jab tak wo wahan raha tab tak to usne us tahili ko khol kar nhi dekha ki usme kya hai aur ghar jaane ke baad usne use khol kar nhi dekha.
Agle din jab wo apne kaam pe nikla to use dyan tha ki us thaili ko apne saath leke jaye, shayad wo insan aakar use le jaye. Aise karte karte use 6 din beet gaye, wo jab bhi apne kaam pe niklta to us thaili ko apne saath le jaya karta. Ek din shaam ke waqt jab wo apni theli lekar bazar pahuch to kuch policewalo ne use giraftaar kar ke thane le gaye. Ab wo bechara pareshan thane me tha, policewalo se poocha ki use kis jurm me utha ke yahan laye hai to ek policewale ne use bataya ki usne ek thaili ki chori ki hai wo ek din ek vyakti uski gol gappe ki theli pe bhul gya tha. Tab Ramesh me un policewalo ko sari baaten batai aur ye bataya ki wo thaili kahan hai. Policewalo ne Ramesh ke kahe hue jagah pe us thaili ko khoja aur unhe wo mil gayi. Aur jis agyat vyakti ne jo jo bataya tha ki uski thaili me kya hai wo saara samaan bhi usi me tha. Policewalo ne Ramesh ko chhod diya. Lekin aaj Ramesh ki gol gappe ki acchi bikri nhi ho payi.
Agle din fir Ramesh roz ki tarah apna kaam nipta ke nikal gya bazaar lekin is baar log usse gol gappe kharidne me hichkicha rahe they kyunki use police jo giraftaar kar ke le gayi thi. Dopahar tak to uska accha dhnada nhi hua lekin shaam ko jab wo bazaar pahucha to usne dekha ki jo log us din uski theli se gol gappe khaye they aur unme se ek apna thaili uski theli pe bhul gya tha uske theli lagane wale jagah pe pehle se hi maujood hai. Ramesh ne use pehchan liya tha kyunki wo un chehro ko bhul nhi paya tha. Us vyakti ne Ramesh se uska haal chal poocha aur fir usse maafi bhi mangi ki uski wajah se use jail jana pada. Us vyakti ka naam Mukesh tha usne Ramesh ko saari baaten batai aur ye bataya ki us thaili me kya tha. Jaate jaate usne Ramesh ko uski imaandari ke liye acchi khaasi inaam bhi deke gya aur badi badi partyiyo me uske gol gappe bikwane ka wada bhi kar ke gya. Uske baad se to Ramesh ke bhagya hi khul gaye they.
Moral of the story:
Imaandaari ka fal mitha hota ha.
0 Comments