#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Siksha ki kimat

 Siksha ki kimat

Belanpur ka ek garib kisan Bhikhu bahut mehnat karta tha aur apne pariwar ka pet palta tha. Uske pariwar me uski biwi Ramawati aur uske 3 bacche they Manglu, Udayraj aur Dharamraj. Sabse bada beta Manglu apne pitaji ko mehnat karta hua dekhta aur apne padahi me aur jor laga kar mehnat karta ki wo acchi si naukri pa kar apne pitaji ka pariwar chalane me madad karna chhahta tha, doosra beta Udayraj din bhar apne dosto ke saath kabhi is gaon to us gaon ghuma me ghumta rhta tha aur sabse chota beta Dharamraj bhi apne bade bhai ki tarah padahi me mann lagata ki wo bhi ek acchi pa kar apne pitaji ka haath bata sake. Bhikhu ko apne kheti se jo bhi milta wo use apne pariwar chalane me aur apne baccho ki padhai me laga deta. Kuch din bitne ke baad Bhikhu aur Ramawati ne apne bade bete Manglu ki shadi kara di. Lekin uske baad bhi Manglu ne padhai kar ke ek acchi si sarkari naukri pa li parantu shadi hone ki wajah se uski biwi use apne pitaji ke kaam me haath batane se mana kar deti thi aur Bhikhu aur Ramawati bhi apna mann maar kar uske is vyawahar ko jhel lete they kyuki unke jaane ke baad ke to Manglu ko apni biwi ke saath hi rahna rahta. Wahi doosri or chhota beta Dharamraj abhi bahut hi niche darje ki kaksha me padhta tha use naukri lagne me abhi bahut samay lagta. Aur majhla beta Udayraj padahi to karta par din bhar apne dosto ke saath samay bitane ki wajah se wo ghar ka jara bhi khayal nhi karta tha.

Siksha ki kimat, kids stroy, short story, moral story, story, motivational story
Hanuman STUDIES

Ek saal aisa aya jab jyada barish hone ki wajah se fasal bahut hi kharab ho gya aur ghar ki arthik stithi dagmaga gayi. Udayraj ne jab apne pitaji ko aisi pareshani ki halat me dekha to use raha nhi gya aur bhi koi kaam ki talash karne laga taki wo apne pariwar ki madad kar sakee aur apne chhote bhai ki padahai me madad kar sake, kuch dino baad use ek mandi me maal dhulai ka kaam mil gya. Din bitate gaye ek din Manglu ki biwi ne usse kaha, "Ab kheti kisani karne wale tumhare pitaji aur tumhara bhai dono kama rahe hai hame ab alag ho jana chhahiye". Ye sun kar Manglu ne koi jawab to nhi diya par wo bhi bechara laachaar sa baitha rha. Ek din wo apne pitaji aur bhaiyo se is baare me baat karne baitha to sabne uske saath haami bhar di ki wo ab alag rah sakta hai aur kuch dino baad Manglu apni biwi ke saath alag sahar me rahne laga.

Ab pari war ki saari jimmedari Bhikhu aur Udayraj ke kandho pe tha. Udayraj ko naukri karte 2 saal ho gaye they par wo apne tankhwa se santusht nhi tha, isliye usne socha ki ab wo apne malik ke vetan badhane ke baare me baat karega, uska maalik accha insaan tha aur usne uski tankhwa badha di. Kaam jaisa bhi tha usme mehnat bahut tha aur vetan bahut kam, isliye Udayraj ab apne padhai ko fir se shuru kar diya jo isne beech me chhod diya tha. Ab Udayraj din me kaam karta aur raat me padhai. Kuch dino baad use pata chala ki Railway ki Group D ke job nikli hui hai to usne uske liye apply kar diya. Kuch dono baad usne uska pehle charan ka pariksha diya  aur use aache anko se paas kar liya, uske baad usne doosre charan ki pariksha bhi acche anko se paas kiya. Udayraj pehle se hi mehnat wala kaam karta tha isliye use Group D ki physical pariksha paas karne me bhi jyada diqat nhi hui.

Aur kich dino baad use uska joining letter mil to uski khushi ka tbikana nhi raha ab wo padhai ki kimat samajh chuka tha.

Moral of the story:

Siksha ke bal pe kuch bhi paya ja sakta hai.

Post a Comment

0 Comments