#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Bhooka sher

Bhooka sher

Jungle ka raja sher aaj bahut pareshan dikh rha tha. Wo apne gufa se nikla aur jungle ki sair karne chala gyaki shayad koi aisa  shikar mil jaye jise wo poore din kha sake. Chalte chalte ek jagah ek hiran dikhi jo nadi ki or ja rahi rahi paani pine. Sher taak laga ke baith gya ki kab use mauka mile aur uska shikar kare lekin hiran bhi hoshiyar thi use abhas ho gya tha ki koi uske piche pada hua isliye usne apni chaal badal li ab hiran jis raaste se ayi thi us raatse na ja kar wo doosre raaste se jaane lagi. Sher bhi achambhit ho gya ki hiran waha kahan ja rahi hai, wo bhi dheere dheere hiran ke piche chal rha tha ki mauka milte hi uska shikar kar sake. Lekin hiran use chakma dene me safal ho gayi thi aur jo sher ka shikar ho sakti thi wo bach gayi.

Bhookha sher kids story short story
Hanuman STUDIES

Sher phir usi pareshan stithi me jungle me vichran karne laga. Age chalne pe use ek siyar dikha sher ne socha hiran na sahi kyun na is siyar ko hi maar ke kha liya jaye. Is baar bina kuch soche samjhe siyar ko koi mauka diye begair use apne panje pe kaid kar liya. Siyar ne jaldi se kaha maalik raja dhiraj main ek nanhi si jaan, mera shikar kar ke ek time ka pet to bhar jayega uske baad kya, siyar ki ye baatein sun kar sher ka dimag chakra gya aur usne use chhod diya is shart pe ki siyar ko madad karni padegi sher ke liye sikar dhundhne me. Siyar ne use bataya ki kuch der baad nadi kinare kuch bhains ayenge paani pine ke liye kyun na sher unhi ka shikar kar le aur siyar bhi uski madad karega. Sher ko siyar ki ye baat acchi lagi aur uski baat maan kar kuch pal aur intezaar kar laga ki ab wo bhains ka hi shikar karega.

Lag bhag 1 ghante intezar karne ke baad kuch bhainso ka jhund nadi kinare paani pine aya. Is baar sher aao dekha na tao aur ek bhainse ke uper jhaptaa maara aur teen chaar panjo ke hamle se us bhains ko jamin pe lita diya jo us sher aur siyar ka shikar ban chuka tha. Uske baad sher ne pet bhar ke khana khaya aur siyar ko bhi usme bhi usme se khane diya.

Moral of the story:

No moral just story. Sher ki bas apni bhookh mitani thi.

Post a Comment

0 Comments