#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Amrish ki bahaduri

Amrish ki bahaduri

Itna bada shahar, station ke bahar ka nazara dekh kar hi Amrish ke hosh udd gaye they, station ke bahar kadam rakhte hi use kai auto rickshaw-walo ne gher liya ye poochte hue ki kahan jana hai. Jaana to tha use Amprapali residency Roida sector 5 me, lekin acchambhit Amrish kuch bol nhi pa rha tha wo is asmanjas me tha ki kahin ye auto wale usse jyada paise na lele. Wo fir se station ke andar gya apne company ke boss Shantanu ko phone kiya ki wo station pe aa gya hai par auto wale usse jyada paise na lele. Boss ne use saari jaankari di fir wo bahar nikal kar ek autowale se baat kar ke usme baith gya.

Amrish ki bahaduri kids short motivational moral story
Hanuman STUDIES

Amrish ek chhote se gaon ka rahne wala apna graduation complete kar ke job karne ke silsiye se pehli baar itne bade shahar me aya tha. Wo aur uske parivar khush bhi they ki padhai poori karne ke turant baad hi use naukri lag gayi. Amprapali Roida sector 3 wo jagah tha jahan uske company ke ek senior rahte they aur kuch din apni training poori hone tak Amrish unhi ke paas rahta. Amrapali residency ek 30 manjila building thi, wo ye dekh ke samajh gya ki uski tankhwa me to yahan nahi rah payega. Kuch din me training poori hone ke baad uski use boss Shantanu ne use Amrapali residency se 3 km door ek saste se acche makaan me settle karwa diya jahan use kisi prakar ki diqat nahi hoti. Amrish ko padhne  ka bahut shauq tha isliye kaam se lautne ke baad bhi usne apni padhai jaari rakhi. Itne bade shahar ko dekh ke uske sapne aur bade ho gaye jise wo apni padhai ke dam pe hi poora kar sakta tha. Ek din jab wo office me kaam kar raha tha to usne dekha ki office ke bahar kuch ladke ek bacchi ko pareshan kar rahe they, usse raha nhu gya aur apna kaam chhod kar kar wo us bacchi ki madad karne bahar nikal gaya. Lekin ek akela bechhara 4 ladko ke saamne jyada der nhi tik paya, bacchi ko to Amrish ne wahan se bhaga diya tha par wo un ladko ke haatho pad gya tha. Unhone akele Amrish ki pitai phir uske office ke kuch staff ko jab ye pata chala ki Amrish ko kuch ladke peet rahe hai to wo uski madad karne bahar aye jinhe dekh wo lafange bhaag gaye. Amrish thoda bahut ghayal ho gya tha to uske boss ne use 3 din ki chhuti de di

3 din baad jab Amrish office aya to uske office ke staffs ne taaliyo ke saath uska swagat kiya. Amrish kuch samajh nhi paya ki usne aisa kya kaam kar diya. Amrish ne sabka dhanyawad diya aur fir apne kaam me lag gya. Lekin wo ye nahi samajh pa raha tha ki ek madad karna to bhalai ka kaam jise sabka karna chhahiye khaas kar ke tab jab koi kisi pe julm dha rah ho.

Fir Shantanu Amrish ke paas aa ke bola ki tuhari himmat ki wajah se un lafango ko jail ki hawa khaani pad rahi hai. Jis bacchi ki madad Amrish ne ki thi wo 8th class ki student thi jo un lafango ke darr se school jana band kar di thi aur yahan tak ki un lafango ne uska ghar se niklna bhi doobhar kar diya tha. Uske parivaar wale bhi garib they jo unse bhid nhi sakte they isliye inhone bhi us bacchi ko ghar se bahar niklane se mana kar diya tha. Lekin jab Amrish ne uski madad ki to uski bhi himmat badh gayi jab ek anjaan uski madad ke liye aagey aa sakta hai to wo khud apni madad kyun nhi kar sakti. Uske baad wo turant police ke paas gayi aur un lafango ki saari baatein bata di. Uske baad police unke office bhi ayi thi pooch taach ke liye. Police ne khoj-bin kar ke un lafango ko ek jagah pakad liya aur ab wo jail ki hawa kha rahe hai aur wo bacchi bina dare apni normal zindagi ji rahi hai.

Moral of the story:

Anyay ke khilaf awaz nahi buland karoge to anyay ki hi jeet hogi.

Post a Comment

0 Comments