#Advertisement Sidebar Ad home page Placement by Hanuman Studies Experiment

Fasal ka bacchao

 Fasal ka bacchao

Bikram roz subah uth kar apne khet ki or tahlne nikal jaya karta hai kyunki use dekhna rahta tha ki kahin jaanwaro ne fasal to nhi na barbaad kar diya hai. Uske gaon me bahut khulle janwar ghuma karte they jo kisano ke fasal ko barbaad kar diya karte they. Aur ye sirf Bikram ka kaam nhi tha jo subah uth ke khet ki or chala jata tha aise bahut se kisan they jo subah utha kar apne apne khet ki or chala jaya karte they ye dekhne ke liye ki kahin jaanwaro ne unke faslo ko barbaad to nhi na kiya hai. Janwaro ka atank unke gaon me aisa tha ki logo ko kabhi kabhi poori raat jaagni padti thi apni faslo ko dekh bhaal ke liye kyunki agar fasal nhi bachega to wo aur unka parivar khayega kya. Iski shikayat leke wo apne gaon ke pradhan ke paas kai baar aur inki shikayat leke pradhan gaon ke sachiv ke paas kai baar gaye lekin koi hal nhi nikal pata tha.

Fasal ka bacchao kids short moral motivational story
Hanuman STUDIES

Bikram ne aaj thaan liya tha wo aaj kisi na kisi tarah ek jaanwar ko to jaroor hi pakad lega. Usne apne kuch saathi kisano se madad ke liye kaha jo is baat se soch me they ki Bikram janwar ko pakad ke kya karega, lekin wo madad karne ke liye taiyar ho gaye kyunki agar koi jaanwar pakad me aa jayega to idhar udhar to bhagega to, aur agar koi jungli jaanwar pakad me aa jayega to use van-vibhag ke hawale kar denge. Kisano ki khush nasibi ki kuch samay baad hi unhe ek khulla saand ghumta hua, Hariram ke khet ki or jaa rha tha, Hariram us samay Bikram ke saath hi tha. Jaise hi wo saand khet ke nazdik pahucha Sab ne use chharo taraf se gher liya, sab ke haatho me lathi aur rassiya thi jinki madad se wo saand ko pakad lete. Saand bhi tha bahut hi khunkar jo apni jaan bachane ke liye idhar udhar bhaagna chhaha tabhi maccha pe baithe hue Bikram ne saand ke gale me rassi fek di jo pehle se hi ped se bandha hua tha, ab saand ne poori jor laga ke rassi se apne aap ko chhudane ki koshish ki lekin wo asafal raha. Thak haar kar kuch samay baad saand bhi shaant ho gya aur wo ab poori tarah se insaan me kabze me tha.

Use Bikram apne saath le gya aur use apni khaali zameen pe baandh diya. Ab Bikram roz use kisi khule maidan me baandh ata jahan wo aaram se ghaas charte rahta aur kam kam se wo saand kisi ke fasal ko nuksaan nhi pahucha rha tha, uski gobar se Bikram apne khet ke liye khaad taiyar karne laga. Saand ko khaane ke liye ghaas ki jarurat rahti hai jo use khule maidan me mil jata aur kabhi jab wo bimar hota to Bikram doctor ko dikha deta, Bikram saand ke dekh bhaal me koi kami nhi aane deta. Bikram ke is idea se gaon wale bahut prabhavit hue aur wo bhi ab yahi tarika apna kar aise kai jaanwaro ko pakad kar apne istemaal me laane lage. Aur is tarah se unke gaon ko jin jaanwaro se khatra tha ab wo unke kaam aane lage aur gaon walo ki fasal bhi barbad hone se bacchne lagi. Bikram ki aisi pahal ke liye use gaon ke sachiv ke dwara puraskrit bhi kiya gya.

Moral of the story:

Koi bhi bekar nhi hota, uski upyogita pta honi chhahiye.

Post a Comment

0 Comments