Madad karke karobaar banaya
Bidesia ek seedha sada ladka hai jo kabhi kisi ki baatein maan leta turant, uske is seedhepan ki wajah se bahut log uska fayda utha liya karte they, sab usse apna kaam karwa liya karte lekin usko kabhi bhi kuch kaam padta to sab koi na koi bahana bana lete. Uske seedhe pan ke koi kayal they to bas uske parivaar wale, jo ye to jaante they ki sab uska fayda utha lekin wo dil ka bahjt saaf hai aur kabhi kisi ka fayda nhi uthata.
Hanuman STUDIES |
Ek roz Bidesia aise hi gaon me ghumne nikla usne socha ki wo logo ki madad to kar deta hai lekin uska koi fayda nhi hota, usko bhi baakiyo ki tarah paise kamane they. Ek din uske gaon ke ek kisan jo apni bailo ko lekar apni khet jotne ja raha tha, usne Bidesiya ko bulaya aur usse madad ke liye kaha, Bidesiya ne usse kaha ki wo madad to kar dega lekin usse kuch 100 rupaye lega. Kisan to pehle bhauchakka rah gya ki iski aaj kya ho gya ab tak jo bina soche samjhe kisi ki bji madad kar deta tha ab wo paise maang rha hai, lekin kisan ne socha ki 100 rupaye me jata hai, usko madad mil jayegi aur uska kaam bhi jaldi ho jayega. Usne Bidesiya ko haan kah diya, khet jotne ke baad jab Bidesia ne usse paise maange to kisan ne kaha ki agli baar le lena. Kuch din baad wahi kisan apni khet me paani chalane yani sichai karne ja raha tha, to usne Bidesiya ko uske ghar se bulaya aur uski madad mangi, fir Bidesiya ne usse kaha ki pichli baar ke paise usne nhi diye hai, kisan ne use pichli baar aur is baar ke paise ek saath turant de diye. Bidesia khush ho kar turant uske saath chal diya aur uski madad se kisan ka kaam bhi turant ho gya.
Gaon ke log ab samajh gaye they ki Bidesia ko ab murakh banana asaan nhi hai. Wo ab bina paise liye kisi ka bhi kaam nhi karta tha, jiski wajah se uski acchi khaasi kamai hone lagi. Ab Bideisa ne socha kyun na wo ek madad karne wala sanstha khol le jisme log usse thodi si rakam deke usse kaam karwa sakte they. Ab Bidesia ka sanstha ek bada roop lene laga tha uske paas aas paas ke gaon ke log bhi aane lage they madad ke liye, itne log aane lage they ki use samay ki kami padne lagi. Usne socha kyun na gaon ke un logo ko apne sanstha se jode jo berozgaar hai aur kaam ki talaash karte hai isse unki bhi kamai ho jaya karegi aur Bidesia ki bhi. Usne ab ghum ghum kar gaon ke aise logo ki suchi banane laga jo kabhi kabhi berozgaar ho jaya karte they. Uske paas ab badhai yani lakdi ka kaam karne wale, raj mistri yani deewar me eet ki judaai karne wale, bijli mistri, khet me dawa ka chhidkaw karne wale, is tarah ke kaam karme wale bahut saare logo ka naam jud gaya.
Ab jab bhi koi uske paas madad ke liye aaya karta tha aur agar uske paas agar samay nhi hai to wo un logo ke paas ja kar unse kahta ki madad karo aur paise kamao. Uski ye tarkib acchi rang layi aur gaon ke bahut saare logo ko rozgaar milne lag gya. Kai logo ka bhala hone lag gya aur uske parivar wale ab aur bhi jyada uspe naaz karne lage. Bidesia ki sanstha ki karobaar acche se chalne laga aur wo kucb hi saalo me gaon ka seth ban gaya wo bhi aisa waisa nhi wo ab garibo ki muft me bhi madad karta tha.
Moral of the story:
Madad karo kaam milega aur kaamm de bhi paoge.
Warning:
Beware of cyber fraudulent.
0 Comments