Bhiku ke bacche
Ab dono baccho me ye hausla jaagne laga ki jaldi se jaldi wo apne-apne lakshay ko pa le nhi to bhavishya me unhe bahut pareshani ho sakti hai jeevansaathi ke baigair. Manglu jise kushti ka shauq tha usne ab din raat mehnat karni shuru kar di taaki use acchi khaasi upladhi mil sake aur apne maa baap ka sapna sakar kar sake wahin Avdhesh bhi ab apne padhai me aur ji laga kar padhai karne laga aur kuch din baad rajya me raja ne kotwal ki naukri ka elaan karwa diya jisse Avdhesh ko mauka mil gya apni gyan kaushal ka pradarshan karne ka. Samay beeta aur kuch din baad rajya me doosre rajya ke raja ne Kaushalpur ke raja se baat kar ke yahan ek kushti pratiyogita karwane ki anumati mil gayi, jiski khabar milte hi Manglu sabse pehle apna naam shuchi me likhwane pahuch gya.
Ab wo din door nhi tha jab daroga wala pariksha hone tha, Avdhesh ne ab tak jo bhi padha tha uska fir se abhyas karne laga aur 3 din baad pariksha dene ke baad uske chhehre ki khushi dekhne layak thi kyunki use poora yakin tha ki wo jarur uttirn hoga pariksha me, samay ka khel koi nhi jaanta kuch din baad hi kushti pratiyogita bhi ho gayi aur Manglu ne apna behar pradarshan karte hue ek number ke pahalwan ko hara diya, jisme use acchi khaasi inaam ki raashi mili saath hi ek trophy bhi mila dono rajya ke raajo ke haatho. Us din Bhiku aur uski biwi ka seena khushi se chauda ho gya tha. Thik kushti paritiyogita ke 10 din baad Daroga ke pariksha ka parinaam bhi ghoshit ho gya jise Avdhesh ne acche anko se uttrin kiya, ab bas use sharirik kaushal me utirn hona tha. Shririk kaushal pratiyogita ke liye Manglu ne apne bhai ko bahut hi acche se taiyar kiya aur Avdhesh ussme bhi utirn ho gya.
Ab Bhiku aur uski biwi ne dono ke liye ladki bhi dekh li thi jisse un dono ka vyaah karwa diya jaye. Aur dono is baar shaadi ke liye taiyar bhi ho gaye kyunki unhe jo pana tha wo unhe mil gya tha aur unke maa baap bhi unse bahut prasan they.
Moral of the story:
Accha gyan aur snaskar ka parinam bhi accha hi hota hai
0 Comments