Shalikram ki buddhi
Shalikram ne ek badhiya kaam kiya ki usne apni jama punji bank me ja ke jama kar diya, nhi to wo roz apne paiso ko lekar hamesha chintit rahta tha. Uske gaon walo ne kai baar use samjhaya ki wo apne paiso ko bank me ja kar jama karwa de lekin wo hi hamesha is darr me rahta tha ki kahin kabhi bank me loot ho gayi to uske paise to tab bhi chale hi jayenge. Shalikram ab ye samajh gya tha ki ghar se jyada surakshit uske paise bank me hai. Kyunki bank me sirf lootero ka darr tha par ghar pe to har tarah le logo se darr hai.
Hanuman STUDIES |
Uske bacche bahut hi kamine they jo kisi na kisi bahane se uske paise nikal liya karte they. Shalikram ke do bete they, ek tractor chalata tha aur doosra jamindar ke kheto pe kam karta tha dono poore nashedi they jo apni kamai ko bhi daaru me uda diya karte they, unki patniya bhi unse bahut pareshan rahti thi. Isliye shalikram ne socha ki paise agar bank me kam se kam rahenge to uske bacche to use aith nhi na payenge. Shalikram ko is baat ka malaal bhi tha ki uske paise ab uske paas nhi rahenge, use jab jarurat padegi to use bank se nikalne padenge. Sahilkram ko apne dosto ke saath alaw sek raha tha tabhi motorcycle se ek aadmi unke paas aake bola ki mujhe kuch logo ki jarurat ki hai ek ghar banane ke kaam ke liye jiske liye rahna khana unki taraf se rahta aur paise bhi acche milenge, usne usse ye kah diya ki wo kal batayega. Jab wo ghar pahucha to usne apne baccho ko bataya ki ek aadmi ko ghar banane ke kaam ke liye aadmiyo ki jarurat hai acche paise milenge agar unhe karna hai to wo uske paas chala jaye. Unhone socha ki baap ne to saare paise bank me jama karwa diya hai kyun na usi ke yahan kaam kar ke paise kama liya jaye. Agle din wo aadmi fir aya is baar wo car lekar aya tha aur Shalikram ke dono bacche uske chale gaye.
Baccho ke chale jaane ke baad usne sabse pehle bank ja kuch paise nikal liye taki ghar ka kharch chal sake, un paiso ko usne ghar aa kar apni bahuwo ko de diye aur kuch paise apne paas rakh liye. Shaliram ne ghar ke paas ek chai ki dukaan khol li, jisme wo chai ke alawa buiscuit, namkeen, paan, bidi, gutkha, aise chhote chhote chize rakhne laga jise gaon ke log istemaal karte they aur kuch dino me uski dukaan acchi khaasi chal padi. Aur kamai hone ki wajah se iske paas paise bhi aane lage, jisse use baar bank jaane ki jarurat nhi padti thi ab. Kuch din baad uske bacche bhi aa gaye umne bahut badlao tha, sabse bada badlaw to ye unhe apni sharab ki latt se mukti mil gayi thi. Ghar aa kar jab unhone dukaan dekha to achraj me aa gaye aur unhone apne pitaji ka unke kaam me haath batana shuru kar diya tha aur unhe bhi ab akal aa gayi thi.
Shalikram ab bas sukun ke saath marne ki iccha karne laga aur 1 saal baad wo bhi is duniya se vida ho gya. Shalikram ne jaate jaate apne baccho ko ye seekh de diya tha ki acchi zindagi jine ke liye parishram bahut jaruri hai sirf galat aadato badhawa dena nhi.
Moral of the story:
Acche logo ke saath accha hi hota hai.
Beware of cyber fraudulent
0 Comments