Mehnati Raju
Bilaspur gaon ka jamindar Karorimal bahut lalchi tha, paise ke liye wo apni janta ka bahut shoshan karta tha. Gaon ke aise bahut kisan they jo uski jamin pe majdoori kar ke apna aur apne parivar ka bharan poshan karte they. Lekin Karorimal apne majdooro se kisi ka kisi tarah se unke paise aith hi leta tha.
Hanuman STUDIES |
Uski khet me kaam karne wala ek majdoor Raju ek din kaam kar ke ghar pahucha aur apni biwi se bola ki aaj ne bas 100 rupaye diye 100 rupaye usne anaaj ke kaat liye jo unhone jamindaar se liye they, lekin jitna anaaj Raju ne liya tha uski kimat 50 rupaye tak nahi rahi hogi. Aise hi jamindaar Karorimal nhi pta kitne logo ke paise kaat liya karta tha. Raju aur uske jaise kitne hi majdoor jamindar ke is julum se pareshan rahte they lekin wo lachar karte bhi to kya karte. Ek din jab majdoor kaam kar rhe they to jamindar unke paas aya aur bola jaldi-jaldi haath chalao, sab kaamchor hai. Ye baat sun kar Raju bola ki maalik sab apni poori takat se hi kaam kar rhe hai, koi paani pine tak nhi utha hai 3 ghante se. Raju ka jawab sun kar Karorimal bidak gya aur usne use kaam se nikal diya aur yahan tak ye dhamka diya ki gaon me use koi kaam nhi dega.
Raju bechara pareshan haal me ghar wapas aa gya ki ab wo kya karega, ghar pahuch ke usne saari baatein apni biwi ko batai. Ab dono pati patni soch me doob gaye ki ab ghar kaise chalega. Raju ne socha ki wo doosre gaon me ja kar ab kaam dhundega. Agli subah wo nikal pada kaam ki talash me, koi pakka kaam to use nhi mila par kahin kahin logo ne usse saaf safai, jhadu pocha, ya agar kisi ke zamin pe jhadiya ugi hai to use safane ka kaam karne ko mil gya, jisse uski thodi bahut kamai ho gai, lekin pakka kaam nhi milne ki nirasha uske chehre pe saaf jhalak rahi thi. Ghar pahuch kar usne apni kamai apni biwi ke haath me rakh diya aur ye dhandhas bandhaya ki jald hi use koi pakka kaam jaroor mil jayega. Raju ko bahut kaam ate they isliye usko ye yakin tha ki jald hi use pakka kaam jaroor mil jayega. Raat ko use is chinta me neend nhi aa rahi thi kal kya hoga aur usne ye decide kiya ki kal wo doosri disha me jayega.
Subah hui aur Raju chal pada kaam ki talash me, aaj wo doosri disha ki or nikla. Chalte chalte raaste me thak kar wo ek ped ki niche baith gya jiski chhao ne use bahut sukoon diya. Wahan usne chhoti se jhapki lene ko socha aur wo so gya. Karib 1 ghante baad uski neend khuli to usne sabse pehle apni biwi ke dwara diye gayi roti sabji ko khaya fir wo aage ki or kaam ki talaash me nikal gya. Aaj bhi jahan-jahan wo gya use bas saaf safai ka kaam mila koi pakka kaam nhi mila. Raat hone se pehle wo fir nirash ho ke apne ghar wapas aa gya fir jo kuch bhi thoda bahut kamaya tha use apni biwi ko diya. Aaj raat Raju ki bechaini bahut jyada badhi hui thi ki agar kal use kaam nhi mila to wo kya karega, wo apne parivaar ka palan poshan kaise karega. Ek baar to use ye bhi vichar aya ki kyun na wo seth Karorimal se fir ja ke mile aur usse maafi maang le aur naukri pe wapas rakhne ki baat kare. Subah hui par wo seth ke paas na ja kar kaam ki talash me nikal gya.
Raju ko lakdi ka kaam bahut hi acche se ata tha jiska fayda use tisre din mila, jab wo ek badhai ke dukaan ke paas pahucha tab. Badhai ka naam Ghanshyam tha jab Raju uske paas pahucha to uske dukaan pe kuch grahak aye hue they jo Ghanshyam se apne lakdi ka samaan lene aye they par wo kaam abhi poora nhi hua tha. Raju wahan ye sab dekh aur sun raha tha. Grahak ne Ghanshyam ko 2 din ka samay aur diya aur chala gya tab Ghanshyam badhai apna sir pakad ke baith gya ki wo akela unka kaam 2 din me kaise khatam karega, baaki ke grahako ke bhi kaam baaki they. Tab Raju usse bola ki wo uske kaam aa skta hai agar wo use kaam pe rakh le to. Ghanshyam ne usse kaam kara kar dekha ki Raju ko lakdi ka kaam ata hai ki nahi. Raju ke kaam ko dekh kar Ghanshyam bahut khsuh hua aur use apne saath rakh liya. Raju ek badhiya lakdi ka karigar tha jiska fayda use mila. Uski kismat chamakne lagi uske baad. Wo roz ab Ghanshaym badhai ke paas jaane laga aur kuch din me hi wo acche khase paisa kama liya. Uske ghar ki stithi sudharne lagi aur pehle se bahut behtar ho gayi.
Moral of the story:
Mehant aur sabra ka fal meetha hota hai
0 Comments