Apada me avsar
Kallu ek biryani bechne wala jiski dukaan acchi chal rahi thi, sab uski biryani ki bahut tarif karte hai, kahte hai ki uski haatho me jaadu hai. Ek baar khane wala baar-baar uski biryani khana chhahega. Kuch din pehle ki baat hai 5 log shahar uski dukaan pe biryani kahne aye lekin us samay uski khatam hone wali thi bas 3 logo ke liye hi biryani bachi thi, sabne aapas me mil ke hi biryani khayi aur uski bahut tarif ki jaate samay unhone usse ye bhi kaha ki wo uski biryani khaane baad me bhi ayenge.
Hanuman STUDIES |
Sab kuch accha hi beet raha tha ki acchanak khabar aa gayi ki poore vishwa me ek Torona virus naam ki bimari phail rahi hai, jisse bacchao ke liye desh ki sarkar poore desh me lockdown lagani wali hai, jisse virus nhi phaile, sirf emergency sewa chalu they jaise hospital, prashashnik karya, medical stores, bank, aur ek samay sima ke andar sabji aur kirana ki dukaan chalane walo ki, aur agar kisi ko kisi emergency ki wajah se bahar nikalna bhi pada to police aur administration se special permissio lena padta tha. Is lockdown me logo se vinti ki gayi ki koi apne ghar se bahar nhi nikle, ek samay baandh diya gya tha jis beech me log sirf jarurat ki samaan lene bahar nikal sakte they aur uske turant baad ghar me chala jana tha taki virus kisi ko apna shikar na bana le. Is lockdown ke samay me sab apne apne ghar me hi band they. Saare pareshan jinkiKallu ki bhi dukaan band hone ki wajah se uski kamai bhi ruk gayi thi.
Tab kallu ne sabji becchne ka socha kyunki wo ek jaruri ka samaan tha jiski kharid aur bikri ke liye sarkaar se special permission leke koi bhi ye kaam kar skta tha. Kallu ka ye decision sahi tha aur usne apni jama punji me se kuch laga kar sabji ki kharid bikri ke dhande me lag gya. Uska ye nirnay sahi tha use kuch dino me accha fayda hone hua, aur Torona virus ki wajah se jo bhi uska nuksaan ho rha tha ab wo use wapas milne lag gya tha. Lockdown lag-bhag 5 mahine tak raha aur uske baad kai logo ko apni zindagi dobaara patri pe laane me kai diqato ka saamna karna pad rha tha. Kallu ne jo sabji ki kharid bikri ka business shuru kiya tha ab uska sahi parinam use aur acche se milne laga. Lockdown khatam hone ke baad usne apni sabji ki kharid bikri ke kaam ke liye 2 logo ko naukri pe rakh liya aur apni biryani ke kaam ko bhi sambhaalne laga. Jisse uski aamdani aur badh gayi aur uski wajah se 2 logo ko rojgaar bhi mil gya jo lockdown me berojgaar ho gaye they.
Moral of ths story:
Apada me avsar ko talashe na sirf apada ko kose.
0 Comments