Arun ki job
Station pe gaadi khadi hui, Arun train se utra aur bahar jaane ka raaste ki or chal diya. Station tha Mankapuri aur Arun ke liye ye ek nayi jagah thi. Arun apni padhai poori kar chuka tha aur ab kaam ki talash me wo is nayi jagah pe aya tha apne ek rishtedar ke yahan, uske pitaji ne unhe pehle hi sandesha bhejwa diya tha ki unke bete ki padhai poori ho chuki to use wahan koi kaam pe laga de, lekin use station pe lene nhi jaye. Arun ki apni rishtedar se baat ho gayi thi ki use kaise kaise unke ghar tak pahuchna rahega. Arun ne wahan auto-rickshaw wale se Krishnapuri chalne ke liye kaha, Krishnapuri pahuchne ke baad use 1 km paidal chalna tha jahan uske rishtedar use lene aate. 1 km paidal chalne ke baad use jahan pahuchne ke liye kaha gaya tha wo wahan pahuch gya aur kuch hi der baad uske rishtedar use lene pahuch gaye they. Udhar se unka ghar bas bagal me hi tha. Arun jinke yahan gya tha unka naam tha Birendar jo apni biwi Anjali aur 2 baccho ke saath rhte they, Birendar ke bacche abhi chhote-chhote hi they. Aaj Arun ane wala tha isliye Birendar ne apne office se chhuti le li thi, wo ek office me peon me ka kaam karta tha. Us office software development ka kaam hota tha, usne apne office ke ek senior se baat kiya hua tha aur unhe Arun ke baare me bataya tha jo documentation kaam kar leta. Kuch dino baad Arun bhi usi office me 11,000 har mahine pe kaam karne laga. 1 mahine baad jab Arun ko uski pahli salary mili to wo ek jagah alag kamra leke rahne laga. Aaj Arun subah jaldi uth kar, naha dho kar khana taiyar kiya, nashta kiya aur luch pack kar ke office chala gya. Offic3 me uske senior usse bahut khush rahte they. Shaam ko jab wo ghar wapas aa rha tha raaste me usne hanumanji ke mandir me ruk kar unke darshan kiye aur prasad le kar chal gya apne rishtedar ke yahan unse milne. Wahan se nikla to ghar pahuch kar khana banaya, khaya, bartan dhoya, kuch der padhai ki aur fir sone chala gya. Raat me achanak uski neend khul gayi usne ek darawan sapna dekha tha, lekin fir wo so gya. Subah neend khuli aur apne kaam pe jaane ki taiyari me lag gya. Ek student ki life aur ek job karni wale ki life me bahut hi difference hota hai. Arun ab acche se apni life ji raha tha. Usne apne parivar ki bhi madad karni shuru kar di apni tankhwa se.
Moral of the story:
Padho likho aur badho.
0 Comments