Dhurt Dhabe-wala Kallu ne aaj acchi kamai ki, wo ek dhaba chalata hai jsime wo har tarah ki pakwaan deta tha chawal, daal, roti mausami sabji, matar paneer, malai kofta, shahi paneer, non-veg pasand karne walo ke liye chicken aur mutton ke bhi bhahut saare item available they uske dukaan pe. Hanuman STUDIES Uske dhaabe me 7 aur kaam karte they jinhe wo rahne aur khane ke alawa 7,000 har mahina pagar bhi diya karta tha. Kallu ka ek roz ka grahak tha Rakesh, ek din Rakesh uske paas aake bola, "Kallu bhai main ek kirane ki dukaan wala hoon, agar aapke nazar me koi accha aadmi ho jo imaandaar bhi ho aur kaam ki jimmedaari acche se nibhata ho to use bataye". Kallu ne kahan, "abhi to nhi hai lekin koi milega to jarur batayega". Kallu raat ko jab apna dhaba band ke ghar pahucha to apne grahak Rakesh ke baare me sochne laga ki agar wo kirane ki dukaan kholega to uska bhi bahut fayda ho jaya karega aur agar apna koi aadmi uske dukaan pe rahega to use rashan me bhi fayda mi...
A place of knowledge for all