Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2023

Dhurt Dhabe-wala

  Dhurt Dhabe-wala Kallu ne aaj acchi kamai ki, wo ek dhaba chalata hai jsime wo har tarah ki pakwaan deta tha chawal, daal, roti mausami sabji, matar paneer, malai kofta, shahi paneer, non-veg pasand karne walo ke liye chicken aur mutton ke bhi bhahut saare item available they uske dukaan pe. Hanuman STUDIES Uske dhaabe me 7 aur kaam karte they jinhe wo rahne aur khane ke alawa 7,000 har mahina pagar bhi diya karta tha. Kallu ka ek roz ka grahak tha Rakesh, ek din Rakesh uske paas aake bola, "Kallu bhai main ek kirane ki dukaan wala hoon, agar aapke nazar me koi accha aadmi ho jo imaandaar bhi ho aur kaam ki jimmedaari acche se nibhata ho to use bataye". Kallu ne kahan, "abhi to nhi hai lekin koi milega to jarur batayega". Kallu raat ko jab apna dhaba band ke ghar pahucha to apne grahak Rakesh ke baare me sochne laga ki agar wo kirane ki dukaan kholega to uska bhi bahut fayda ho jaya karega aur agar apna koi aadmi uske dukaan pe rahega to use rashan me bhi fayda mi...

Madad karke karobaar banaya

Madad karke karobaar banaya Bidesia ek seedha sada ladka hai jo kabhi kisi ki baatein maan leta turant, uske is seedhepan ki wajah se bahut log uska fayda utha liya karte they, sab usse apna kaam karwa liya karte lekin usko kabhi bhi kuch kaam padta to sab koi na koi bahana bana lete. Uske seedhe pan ke koi kayal they to bas uske parivaar wale, jo ye to jaante they ki sab uska fayda utha lekin wo dil ka bahjt saaf hai aur kabhi kisi ka fayda nhi uthata. Hanuman STUDIES Ek roz Bidesia aise hi gaon me ghumne nikla usne socha ki wo logo ki madad to kar deta hai lekin uska koi fayda nhi hota, usko bhi baakiyo ki tarah paise kamane they. Ek din uske gaon ke ek kisan jo apni bailo ko lekar apni khet jotne ja raha tha, usne Bidesiya ko bulaya aur usse madad ke liye kaha, Bidesiya ne usse kaha ki wo madad to kar dega lekin usse kuch 100 rupaye lega. Kisan to pehle bhauchakka rah gya ki iski aaj kya ho gya ab tak jo bina soche samjhe kisi ki bji madad kar deta tha ab wo paise maang rha hai, lek...

Berozgaar ko mila rozgaar

  Berozgaar ko mila rozgaar Ghanshyam abhi tak berozgaar ghuma karta tha gaon me tabhi ek din ek prashasnik adhikari aye uske gaon me aur gaon ke sabhi berozgaaro ko bewra liya jissme bas 10 logo ka naam aya aur usme Ghanshyam ka naam sabse uper tha kyunki wahi ek tha poore gaon me jo abhi tak berozgaar ghuma karta tha gaon me, baakiyo ko to kabhi kabhi kaam mil jaya karta tha. Hanuman STUDIES Kuch din baad prashasan ke kuch aadmi fir aye aye gaon me aur is baar wo un 10 logo ki naukri ki baat karne aye they. Sabko naukri lag gayi thi lagi thi, kuch ke liye kahin building banne wali jagah pe to, kuch ke liye sahar me saaf safai ka, kuch ke liye gaon me hi nahar banne ke liye kaam ka, bas Ghanshyam ek aisa tha jise ek sarkari adhikari ke ghar me naukar ka kaam mila aur usne us kaam ko dil se suikar kiya kyunki ek to saare berozgaaro me se sabse jyada berozgaar tha aur doosri ki ab wo bhi paise kama ke apne ghar walo ki madad kar pata isliye wo sabse jyada khush tha. Jis adhikari ke ...

Apada me avsar

  Apada me avsar Kallu ek biryani bechne wala jiski dukaan acchi chal rahi thi, sab uski biryani ki bahut tarif karte hai, kahte hai ki uski haatho me jaadu hai. Ek baar khane wala baar-baar uski biryani khana chhahega. Kuch din pehle ki baat hai 5 log shahar uski dukaan pe biryani kahne aye lekin us samay uski khatam hone wali thi bas 3 logo ke liye hi biryani bachi thi, sabne aapas me mil ke hi biryani khayi aur uski bahut tarif ki jaate samay unhone usse ye bhi kaha ki wo uski biryani khaane baad me bhi ayenge. Hanuman STUDIES Sab kuch accha hi beet raha tha ki acchanak khabar aa gayi ki poore vishwa me ek Torona virus naam ki bimari phail rahi hai, jisse bacchao ke liye desh ki sarkar poore desh me lockdown lagani wali hai, jisse virus nhi phaile, sirf emergency sewa chalu they jaise hospital, prashashnik karya, medical stores, bank, aur ek samay sima ke andar sabji aur kirana ki dukaan chalane walo ki, aur agar kisi ko kisi emergency ki wajah se bahar nikalna bhi pada to polic...

Shera aur Bhalu

Moral stories for kids Kids stories Motivational stories Bedtime stories Short stories Read at Hanuman STUDIES Story: Shera aur Bahlu Shera bade aaram se khana kha kar apni jhopdi me so gya tha, uski biwi kuch der baad bartan dho kar sone aa gayi, lekin kuch pal baad hi unki neend khul gayi, neend khulne ki wajah thi baarish jo aadhi ko acchanak hone lagi thi. Baarish ke saath hawa bhi itni tej chal rahi thi jiski kisi ne ummid bhi na ki hogi. Kuch der baad wo apni gahri neend me so gaye. Jab wo andar apni jhopdi me so rahe they to bahar jungle me se ek bhalu baarish se bacchta hua unke jhopdi ke paas aa gya, bhalu ne apne aap ko bachane ke liye jhopdi ke piche bane ek aur jhopdi me ghus gya jahan shera apni gaayo ko bandhata tha. Bhalu ko is samay bhuk nhi lag rahi thi, wo to abhi apne aapko baarish se bacha raha tha. Accha jagah panaah milne se wo bhalu bhi wahi so gya. Hanuman STUDIES Subah jab Shera ki neend khuli to bahar baarish ki wajah se jame paani ko dekh ke chauk gya uske tu...

Shalikram ki buddhi

  Shalikram ki buddhi Shalikram ne ek badhiya kaam kiya ki usne apni jama punji bank me ja ke jama kar diya, nhi to wo roz apne paiso ko lekar hamesha chintit rahta tha. Uske gaon walo ne kai baar use samjhaya ki wo apne paiso ko bank me ja kar jama karwa de lekin wo hi hamesha is darr me rahta tha ki kahin kabhi bank me loot ho gayi to uske paise to tab bhi chale hi jayenge. Shalikram ab ye samajh gya tha ki ghar se jyada surakshit uske paise bank me hai. Kyunki bank me sirf lootero ka darr tha par ghar pe to har tarah le logo se darr hai. Hanuman STUDIES Uske bacche bahut hi kamine they jo kisi na kisi bahane se uske paise nikal liya karte they. Shalikram ke do bete they, ek tractor chalata tha aur doosra jamindar ke kheto pe kam karta tha dono poore nashedi they jo apni kamai ko bhi daaru me uda diya karte they, unki patniya bhi unse bahut pareshan rahti thi. Isliye shalikram ne socha ki paise agar bank me kam se kam rahenge to uske bacche to use aith nhi na payenge. Shalikram k...

Society me bhoot ka darr

  Society me bhoot ka darr Shaharo me kisne socha tha ki kabhi bhut pret ke baare me log baatein karenge lekin aaj ki aisa saari society ke log jab apne-apne neend me busy they to acchanak ek chhikh ne sabki neend khol di. Abhi raat ke lag-bhag 12 hi baj rhe they. Sabne socha kahin koi bhoot to nhi na aa gya society me. Hanuman STUDIES Srivastavji ne apni balcony se jhakte hue sabse pehle poocha ki kaun hai hai, uske baad Vermaji ki awaz ayi ki chhikh ki awaz kahan se ayi aur ek ek kar ke sab - Tripathiji, Paswanji, Chaurasiyaji aur aise phir ek-ek karke baaki ke log apni apni balcony pe aa gaye. Lekin kisi ne bhi society ke us hisse me pahuchne ki himmat nhi dikhai jahan se awaz ayi thi. Lekin jab kuch der tak koi awaz nhi ayi to sab apne apne ghar me wapas chale gaye. Aur sab wapas gahri neend me so gaye, lekin abhi shayad hi koi gahri neend me soya hoga ki acchanak fir se chhihk hui jiski awaz sun kar is baar sab log sidhe society ke campus me aa gaye kyunki ye 1 ghante ke andar...

Amrish ki bahaduri

Amrish ki bahaduri Itna bada shahar, station ke bahar ka nazara dekh kar hi Amrish ke hosh udd gaye they, station ke bahar kadam rakhte hi use kai auto rickshaw-walo ne gher liya ye poochte hue ki kahan jana hai. Jaana to tha use Amprapali residency Roida sector 5 me, lekin acchambhit Amrish kuch bol nhi pa rha tha wo is asmanjas me tha ki kahin ye auto wale usse jyada paise na lele. Wo fir se station ke andar gya apne company ke boss Shantanu ko phone kiya ki wo station pe aa gya hai par auto wale usse jyada paise na lele. Boss ne use saari jaankari di fir wo bahar nikal kar ek autowale se baat kar ke usme baith gya. Hanuman STUDIES Amrish ek chhote se gaon ka rahne wala apna graduation complete kar ke job karne ke silsiye se pehli baar itne bade shahar me aya tha. Wo aur uske parivar khush bhi they ki padhai poori karne ke turant baad hi use naukri lag gayi. Amprapali Roida sector 3 wo jagah tha jahan uske company ke ek senior rahte they aur kuch din apni training poori hone tak Amri...

Fasal ka bacchao

  Fasal ka bacchao Bikram roz subah uth kar apne khet ki or tahlne nikal jaya karta hai kyunki use dekhna rahta tha ki kahin jaanwaro ne fasal to nhi na barbaad kar diya hai. Uske gaon me bahut khulle janwar ghuma karte they jo kisano ke fasal ko barbaad kar diya karte they. Aur ye sirf Bikram ka kaam nhi tha jo subah uth ke khet ki or chala jata tha aise bahut se kisan they jo subah utha kar apne apne khet ki or chala jaya karte they ye dekhne ke liye ki kahin jaanwaro ne unke faslo ko barbaad to nhi na kiya hai. Janwaro ka atank unke gaon me aisa tha ki logo ko kabhi kabhi poori raat jaagni padti thi apni faslo ko dekh bhaal ke liye kyunki agar fasal nhi bachega to wo aur unka parivar khayega kya. Iski shikayat leke wo apne gaon ke pradhan ke paas kai baar aur inki shikayat leke pradhan gaon ke sachiv ke paas kai baar gaye lekin koi hal nhi nikal pata tha. Hanuman STUDIES Bikram ne aaj thaan liya tha wo aaj kisi na kisi tarah ek jaanwar ko to jaroor hi pakad lega. Usne apne kuch ...

Shikari raja ki seekh

  Shikari raja ki seekh Hanuman STUDIES Ek  samay ki hai jab Pratapgarh ke raja Bhansingh ek raat shikar karne ke liye jungle me nikle, unke mantrigan bhi they, 20 sainik aur 10 kotwal bhi they. Raat bhi aisi thi ki ek taara tak aasmaan me nhi chamak raha tha aur chharo or andhera tha, wo to ganimat thi ki unke paas roshani ki poori vyavasta tha. Ghumte ghumte unhe bahut samay beet gya lekin ek khargosh tak unhe nhi mila shikar ke liye tab ek mantri ne raja se kaha ki huzoor wapas chala jaye nhi to bahut raat ho jayegi lekin raja ne uski nhi suni apne mantriyo se kaha ki use bhookh lagi hai ab sab thodi der ruk kar bhojan kar le aur sab ne mil kar thode hi der me ek chhota sa shamiyana banaya jisme raja rula tha aur bhojan prarambh kar diya. Raja ke bhojan karne ke baad sabne bhojan grahan kiya aur sab jaldi se lag gaye fir se shikar ki taiyari me lag gaye. Jab sab taiyar ho gaye tab raja ko bataya gya ki sab taiyar hai shikar ke liye tab raja bhi shamiyana se nikla aur chal d...

Bhiku ke bacche

  Bhiku ke bacche Hanuman STUDIES K aushalpuri ka raja bahut hi samriddh aur apni praja ka poora khayal rakhta tha. Uske rajya ka ek kisan Bhiku apne do baccho ke liye bahut pareshan rahta tha, uske do bacche they Manglu aur Avdhesh. Bhiku chhahta tha ki uske jite ji dono baccho ki shaadi ho jaye par koi bhi abhi shaadi karne ko taiyar nhi tha. Manglu apni pahalwani me mast rahta tha to Avdhesh apni padhai me, dono me se kisi ko bhi abhi shaadi nhi karni thi. Bhiku ko ek din tarkib sujhi usne apne dono baccho ko bulaya aue kaha ki agar abhi shaadi nhi karni hai to ghar ke kaam me apni maa ka haath batao. Wo dono taiyar ho gaye aur ab unhe jyada samay ghar pe maa ki aadesh ka intezaar rahne laga aur wo unki seva me lag jata tha. Ek din unki maa ki tabiyat bahut kharab ho gayi tab ghar ke kaam ko dono baccho ne bahut sambhala. Bhiku ne bhi apni ki madad karne wale nirnay se bahut khush tha jiski wajah se dono baccho ko ghar ka kaam karne koi pareshani nhi ayi. Kuch din parivar ke acc...

Mehnati Raju

  Mehnati Raju Bilaspur gaon ka jamindar Karorimal bahut lalchi tha, paise ke liye wo apni janta ka bahut shoshan karta tha. Gaon ke aise bahut kisan they jo uski jamin pe majdoori kar ke apna aur apne parivar ka bharan poshan karte they. Lekin Karorimal apne majdooro se kisi ka kisi tarah se unke paise aith hi leta tha. Hanuman STUDIES Uski khet me kaam karne wala ek majdoor Raju ek din kaam kar ke ghar pahucha aur apni biwi se bola ki aaj ne bas 100 rupaye diye 100 rupaye usne anaaj ke kaat liye jo unhone jamindaar se liye they, lekin jitna anaaj Raju ne liya tha uski kimat 50 rupaye tak nahi rahi hogi. Aise hi jamindaar Karorimal nhi pta kitne logo ke paise kaat liya karta tha. Raju aur uske jaise kitne hi majdoor jamindar ke is julum se pareshan rahte they lekin wo lachar karte bhi to kya karte. Ek din jab majdoor kaam kar rhe they to jamindar unke paas aya aur bola jaldi-jaldi haath chalao, sab kaamchor hai. Ye baat sun kar Raju bola ki maalik sab apni poori takat se hi kaam k...

Arun ki job

Arun ki job Hanuman STUDIES Station pe gaadi khadi hui, Arun train se utra aur bahar jaane ka raaste ki or chal diya. Station tha Mankapuri aur Arun ke liye ye ek nayi jagah thi. Arun apni padhai poori kar chuka tha aur ab kaam ki talash me wo is nayi jagah pe aya tha apne ek rishtedar ke yahan, uske pitaji ne unhe pehle hi sandesha bhejwa diya tha ki unke bete ki padhai poori ho chuki to use wahan koi kaam pe laga de, lekin use station pe lene nhi jaye. Arun ki apni rishtedar se baat ho gayi thi ki use kaise kaise unke ghar tak pahuchna rahega. Arun ne wahan auto-rickshaw wale se Krishnapuri chalne ke liye kaha, Krishnapuri pahuchne ke baad use 1 km paidal chalna tha jahan uske rishtedar use lene aate. 1 km paidal chalne ke baad use jahan pahuchne ke liye kaha gaya tha wo wahan pahuch gya aur kuch hi der baad uske rishtedar use lene pahuch gaye they. Udhar se unka ghar bas bagal me hi tha. Arun jinke yahan gya tha unka naam tha Birendar jo apni biwi Anjali aur 2 baccho ke saath rhte t...

Neki ka fal

  Neki ka fal Ek gaon me Arunima naam ki ek budhi aurat rahti thi uski umar lag-bhag 70-75 saal hogi uske saath kya pareshani thi ki wo har kuch samay baad baatein bhul jaya karti thi. Uske parivar me koi nhi bacha tha uske pati ki maut ho chuki, uske do bacche they jo kabhi kabhi uske paas usse milne aya karte the lekin usko apne paas nhi rakhte they baaki ka haal chaal uske gaon wale uske bacche tak pahucha diya karte they. Aaj bhi waisa hi din beet rha tha ki ek aadmi usse aa ke kaha ki amma ek kaam hai uske paas jo bahut dino tak kaam ayega. Hanuman STUDIES Us aadmi ka naam tha Suresh usne kaha,"Aaj wo ek vakil ke paas gya tha jo kah rha tha ki use sunne me aya ki uske bacche uska zagir uske naam pe karwana chhah rhe hai wo bhi uske bina jaane." Suresh ne saari baatein apne kaagzi dastawez me bhi likh liya tha, ek vakil hone ke naate wo uska kaam bhi banta tha. Lekin Arunima ki bhulne ke bimari ki wajah se sab bhul gayi. Par ye bimari uske liye vardaan saabit hua. Aruinma...

Madan aur Sarla

Madan or Sarla Na jaane kyun aaj Madan bahut khush dikh rha tha, gaon walo ne usse poocha to usne unhe bataya ki aaj wo court marriage kar ke apne ghar me lakshmi lane wala hai, ye sun kar gaon walo ne use badhai di. Madan ek ausat sa dikhne wala vyakti tha, apne mobile banane wali dukaan se wo accha khasa bhi kama leta tha. Uske mata pita ko gujre arsa beet gya, Madan ke bade bhai ki shadi 5 saal pehle hi ho gayi thi aur uski ek behan bhi thi jiski shaadi uske mata pita me jeete ji kar di thi bas bacha tha to Madan aur wo bhi aaj shadi karne ja raha tha. Gaon wale uske is nirnay se khush they kyunki bas wahi rah gya tha uske parivar me jiski shaadi nhi hui thi. Madan bhi naha dho kar, naye kapde pahan kar, scent laga kar, apne baal jhaad kar chal diya apni dulhaniya se milne. Hanuman STUDIES Jab wo nikla to lag-bhag 9 baj chuke they bas use court pahuchna tha, saath hi wo apne 2 rishtedaro ko le kar gya tha. Wo samay pe court pahuch gya tha bas aur kuch der baad hi uski dulhan bhi wah...

Bhooka sher

Bhooka sher Jungle ka raja sher aaj bahut pareshan dikh rha tha. Wo apne gufa se nikla aur jungle ki sair karne chala gyaki shayad koi aisa  shikar mil jaye jise wo poore din kha sake. Chalte chalte ek jagah ek hiran dikhi jo nadi ki or ja rahi rahi paani pine. Sher taak laga ke baith gya ki kab use mauka mile aur uska shikar kare lekin hiran bhi hoshiyar thi use abhas ho gya tha ki koi uske piche pada hua isliye usne apni chaal badal li ab hiran jis raaste se ayi thi us raatse na ja kar wo doosre raaste se jaane lagi. Sher bhi achambhit ho gya ki hiran waha kahan ja rahi hai, wo bhi dheere dheere hiran ke piche chal rha tha ki mauka milte hi uska shikar kar sake. Lekin hiran use chakma dene me safal ho gayi thi aur jo sher ka shikar ho sakti thi wo bach gayi. Hanuman STUDIES Sher phir usi pareshan stithi me jungle me vichran karne laga. Age chalne pe use ek siyar dikha sher ne socha hiran na sahi kyun na is siyar ko hi maar ke kha liya jaye. Is baar bina kuch soche samjhe siyar ko...

Imaandaar gol gappe wala

Imaandaar gol gappe wala Ramesh ek gol gappe bechne wala tha wo roz subah uth kar apni theli taiyar karta aur nikal padta gol gappe bechne. Ek din aise hi wo subah utha, apne din charya ka kaam khatam karne ke baad wo lag gya gol gappe banane me, gol gappe banane ke baad usne gol gappe ka paani banaya aur uske baad usne jo kabuli chana bhiga rakha tha uska masala banaya. Fir wo lag gya apni theli taiyar karne me. Sabse pehle usne apne gol gappo ko rakha uske kinare usne uska paani rakha aur doosri kinare usne gol gappe ka masala rakha saath hi pine ka paani rakha jo wo apne grahako ke liye rakhe hue tha wo uske paas khane aate they aur ek or usne kachre ki peti rakh diya, jisme log gol gappe khane ke baad pattal usme rakh diya karte they. Saari taiyari karne ke baad wo nikal pada apne gol gappe bechne. Hanuman STUDIES Wo apni theli to dopahar se hi lekar nikal jata hai, lekin asli bikri hoti hai shaam ko shaam jab log apne gharo se kuch samaan lene nikalte they, ya gujarne nikalte they...

Mehnat ka fal

Mehnat ka fal Baat hai us gaon ki jiska naam hai Gokula yahan ek kisan tha Dileep jo apni chhoti si jamin pe kheti baari kar ke apne biwi baccho ka palan poshan karta tha. Ek saal fasal kharab ho gya to uski biwi ne salah diya ki kyun na wo pardes chala jaye paisa kamane. Paas ke hi sahar Rupaspur me uske kuch dost pehle se hi majdoori kar ke paisa  kamate they to usne socha kyun na unhi ke paas chala jaye. Agle subah wo taiyar ho gya, uski biwi ne raaste me khane ke liye roti aur sabzi bandh di. Jaate jaate usne apni biwi se kaha, "Main ab paisa kama ke hi aunga tab tak wo apna aur baccho ka khayal rakhe. Maine sandook me kuch paise rakh diye hai jab bhi jarurat lage istemal kar le." Uski biwi ne kaha, "Wo bhi apna khayal rakhe aur fir usne aur baccho ne Dileep ko vida kiya." Hanuman STUDIES Din ke karib 7 baj rhe honge jab Dileep ghar se nikal pada Rupaspur ki or is umeed se ki wo sahar me ja kar accha  khasa paisa kamayega. Raste me use kuch door tak jaane ke loy...

Siksha ki kimat

  Siksha ki kimat Belanpur ka ek garib kisan Bhikhu bahut mehnat karta tha aur apne pariwar ka pet palta tha. Uske pariwar me uski biwi Ramawati aur uske 3 bacche they Manglu, Udayraj aur Dharamraj. Sabse bada beta Manglu apne pitaji ko mehnat karta hua dekhta aur apne padahi me aur jor laga kar mehnat karta ki wo acchi si naukri pa kar apne pitaji ka pariwar chalane me madad karna chhahta tha, doosra beta Udayraj din bhar apne dosto ke saath kabhi is gaon to us gaon ghuma me ghumta rhta tha aur sabse chota beta Dharamraj bhi apne bade bhai ki tarah padahi me mann lagata ki wo bhi ek acchi pa kar apne pitaji ka haath bata sake. Bhikhu ko apne kheti se jo bhi milta wo use apne pariwar chalane me aur apne baccho ki padhai me laga deta. Kuch din bitne ke baad Bhikhu aur Ramawati ne apne bade bete Manglu ki shadi kara di. Lekin uske baad bhi Manglu ne padhai kar ke ek acchi si sarkari naukri pa li parantu shadi hone ki wajah se uski biwi use apne pitaji ke kaam me haath batane se mana ...

Lalchi Ramesh

Lalchi Ramesh Ramesh ek bahut hi lalchi insaan hai wo paisa kamane ke liye kisi bui hadd tak gir sakta hai. Wo apne jhopdi me apni biwi Sushila aur do baccho Sachin aur Sanjana ke saath rahta hai. 10 saal pehle uski shaadi hui thi lekin wo apne lalach ke karan jyada paisa nhi kama paya. Uska ek kirane ka dukaan tha jisme wo roz marra ki jarurat ki samaan rakhta tha jo gaon walo ko kabhi kabhi jarurat pad jata tha, jiase daal, biscuit, maggi, toast, namkeen, baccho ke liye copy aur bhi aise bahut saare chiz jinhe wo apne gaon walo ko thode jyada daam pe becha karta jisse usko jyada fayda ho lekin gaon wale bhi usse jyada samaan nhi kharidte they isliye uska dukaan jyada nhi chalta tha. Ek din use use pta chala ki uske gaon me koi bada seth rahne aya hai. Shaam ko jab Ramesh ghar pahucha to Sushila ne roz ki tarah pehle use paani diya aur fir poochi ki aaj kitna paisa kamaye. Ramesh ne gusse se kaha itna nahi ki ek mahal khada kar saku, Sushila isse chhid kar chali gayi rasoi ki or khana...